1:03:36maulana sahib, agla sawal bhejne wale ne apna na naam likha hai aur na location. un ka sawal parhna chahenge. un ka sawal hai: "maulana sahib, maine aap ki bahut sari book padhi hain aur mujhe is se bahut sari baatein janne aur samajhne ka mauqa mila hai, par main aap se do sawalon ke
1:04:00jawab chahti hoon jahan par mujhe doubt hota hai. mera pehla sawal yeh hai ke ladkiyon ki shadi hona aur na hona kis se juda hota hai? ladkiyon ke khud ki qismat se ya un ke parents ki wajah se? kya Allah ne insano ke jore pehle hi muqarrar kar diye hain ya duniya mein ise dhoonda jata hai? is ke bare mein
1:04:27batayen." agar aap dilli mein rehte hon to aap hamare office aajayen, tab bataunga main aap ko kyunki yeh personal question hai. agar aap dilli mein na rehte hon to agle sunday ko kijiye dobara, phir main jawab dunga. dilli mein rehte hain to aap hamare office mein aajayen aur nahi to phir repeat kijiye agle sunday
1:04:53ko. maulana, unhon ne aap se yeh bhi poocha hai ke islam mein wazifa karne ka kya tareeqa hai? wazifa karna kya sahi hai? islam mein wazifa nahi hai, yeh to soofi logon ne, yani ijad kiya hai.
1:05:11to soofi log is ko bahut mufeed samajhte hain, to theek hai, woh faida hota hoga jo log karte honge. mera tareeqa to wazifa nahi hai, tadabbur hai. hamara jo tareeqa hai, woh tadabbur hai, contemplation, ghor o fikr.
1:05:28wazifa kehte hain dhyan, gyan ko. agar wazifa jo hai, woh meditation par base karta hai to soofi log meditation ko batate hain. to ho sakta hai is mein se faida ho, lekin main zaati taur par contemplation ko manta hoon, jo tadabbur par mabni hota hai.
1:05:49aap ko jo suit kare, us par amal ki jiye, aap ke apne tajrube ke mutabiq. Okay, we will end this session now. If you want to join CPS International or you want to become a Quran distributor in your area, then write to us at info@cpsglobal.org.