Why focus on your own books?
“Maulana sahib, why are you so much bent towards your books? Are there not others whose books can hold a similar way?”Asked by Ahmed Rabbani, London
He answers at 57:03 in The Method of Planning · 3 min 25 sec
57:03So the best thing is that everybody reads your books. Maulana, agla sawal London se kiya hai Sahab Ahmed Rabani sahab ne, aur unhon ne likha hai ke Maulana sahib why are you so much bent towards your books? Are there not others whose books can hold a similar way? bhai, bahut aasan jawab hai is ka, aap khud jaan sakte hain. bahut aasan hai, aap kisi bhi doosre shakhs ko, jis ko aap samajhte hain ke woh bahut aap ki nazar mein important hai, us ki kitabon ko lije, meri kitabon ko lije, aur dono ko comparative study kijiye.
57:44aap doosri kitabon ka, meri kitabon ka comparative study kijiye, aap khud jaan lein ge, aap ko khud hi is ka jawab maloom ho jaye ga. misalan, aap dekhenge ke doosri kitabon se sab mein siyasat, zulm ki baaten hain. zulm hai, mitana hai hamein, zulm hai, mitana hai is ko.
58:06hamari kitabon mein yeh hai hi nahin, to main kyun kahoon doosri kitaben padhne ke liye? Kyun ke padh kar kya aadmi negative mind banega? Zulm ko mitana hai, aap dekh lijiye jo doosri jamaaten hain, jo doosri kitabon ko phailati hain, sab ka mind yahi hai. Islamophobia hai aur zulm hai aur hum under siege hain, to sari kitaben yahi sab zehan deti hain.
58:29Hamari kitaben jo hain, woh exception hain ke woh is qism ki positive zehan deti hain, mukammal taur par positive hain. Aap khud padh kar faisla kijiye ke doosri kitabon ko padh kar negative mind banta hai, hamari kitabon ko padh kar positive mind banta hai.
58:52Agar aap ko yeh ho ke falan kitaben padh kar bhi positive mind bana hai, to woh to na batayen mujhe. Agar aap payen padh kar ke falan writer jo hai, us ki kitaben padh kar ke positive zehan banta hai, to mujhe woh na batayen is ka.
59:15Abhi to main dekhta hoon ke jitne bhi writer hain, un ki kitabon ko padh kar negative mind banta hai. Exception se hamari kitabon ka hai. Ek ek ek ek jamaat zaroor hai jo fazail par chalti hai, to fazail hi mind banta hai. Woh to koi mind nahin hai, mabni par fazail mind to koi mind hi nahin hai.
59:37Woh to ek purasrar mind hai, purasrar mysterious soch banti hai is se. Yaani fazail par jo jo mind bane, woh mysterious thinking us ke andar hogi. Woh to kuch bhi nahin hai. To jo log likhte hain halaat hazra par, main un ki baat karta hoon.
1:00:00Islam aur halaat hazra, yaani aaj ke daur mein musalman kya karein? Aaj ke daur mein Islam ka paigham kya hai? Jinka topic yeh hai, un ko main kehta hoon. To jitni bhi kitaben maine dekhi hain is mozu par, sab negative zehan banati hain. hamari kitaben akeli kitaben hain jo positive zehen banati hain.
1:00:23aap ka aap comparative study kar ke dekh lijiye khud hi. maulana, agla sawal bangalore se kya hai javed sahab ne, aur unhon ne likha hai ke maulana, you