1:01:47maulana, agla sawal kya hai agra se farooq sahib ne, aur unhon ne likha hai ke How can we control our desires of greed, lust, and arrogance? These are the desires which are governing the people in the society today. Please guide us, Maulana, on the same. bas yeh samjhein ke control karen to sawab barh jayega. agar greed waghera ke problem na hote to hamein control karne ki zaroorat nahin thi. to quran se sabit hai ke jo jo sabr kare, us ko ziyada sawab milta hai. to sabr kya hai? yahi to hai control karna. to yeh sab jo mahol hai, woh sirf is liye hai ke aap ke sawab ko, aap ke reward ko barhaye. aap ke reward ko barhaye. to bohat achi cheez hai. maulana, agla sawal dilli se kya hai raj malik sahib ne, aur unhon ne likha hai ke aik sahib keh rahe the ke kaise yaqeen kiya jaye ke marne ke baad jannat aur jahannum hai? kyunke quran aur hadees mein bhi ikhtilaf is ke is mein hai. is ke baray mein batayen. bhai, yeh mamla study ka hai. aap study kijiye. mein to yeh samajhta hoon yani kam study se yeh sab sawalat paida hote hain. ziyada study se yeh sawalat khatam ho jate hain. hamara jo magazine hai al risala, us mein barabar is mozu pe likha jata hai. taqreeban har shumaray mein kuch na kuch zaroor hota hai. to mein yahi kahunga ke yeh koi qanoon ki baat nahin ke aap aik qanoon ki dafa batayen. yeh yeh study barhane ki baat hai. to aise logon ko chahiye ke woh study barhayen. is ke baad woh zaroor aisa yani zehn paida ho jayega un ke andar. Okay, so we will end this session now.