Why Muslims Cannot Discard Violence
“Sir can you explain why Muslims are not able to discard their violent activities even after seeing so much destruction and loss of human lives?”Asked by Muhammad Ayub, Kanpur
He answers at 59:44 in Reason and Faith · 3 min 7 sec
59:44maulana, agla sawal Kanpur se kiya hai Muhammad Ayub sahib ne aur unhone likha hai ke Sir can you explain why Muslims are not able to discard their violent activities even after seeing so much destruction and loss of human lives? What is the reason for the same?
1:00:06dekhen, aap hadith ki kitabon mein ek hota hai kitab ul fitan. har hadith mein hota hai kitab ul fitan. to fitn ke ma'ni kya hain? dour-e-zawaal. jo kitaab-ul-fitn mein jo riwayatein hoti hain, woh dour-e-zawaal ko batati hain.
1:00:28ya'ni kitaab-ul-fitn ka matlab yeh hai ke dour-e-zawaal mein musalmanon ka haal kya hua? yeh hai. to ab to chaudah sau saal beet gaye, ab bhi kaha dour-e-zawaal nahin aayega? yeh sab jo baatein aap padh rahe hain, woh musalmanon ke dour-e-zawaal ki baatein hain. kyunke Iqbal jo samjhate thay, bohat bade mufakkir, unhon ne keh diya tha ke zara nam ho to
1:00:50yeh mitti bohat zarkhez hai. taake hamare bachpan mein yeh shair bohat padha jaata tha jalson mein: zara nam ho to yeh mitti bohat zarkhez hai. taake baat ko ma'ni apne mutabiq samjha ke Iqbal ne apne baat ke zamane mein ek aur baat kahi thi.
1:01:12yeh shuru baat, shuru ki baat thi. ya'ni shuru ke zamane mein Iqbal ne kaha tha ke zara nam ho to yeh mitti bohat zarkhez hai. taake lekin aakhri zamane mein unhon ne is ko ulta kaha tha. unhon ne tere muheet mein kahin johar-e-zindagi nahin.
1:01:34musalmanon ke bare mein tere muheet mein kahin johar-e-zindagi nahin. dhoond chuka mein mauj mauj de chuka sau das. yeh isi isi waqt Iqbal ka shair hai. yeh shuru mein woh josh mein woh keh diya tha unhon ne, lekin baad mein jab tajruba hua
1:01:57to unhon ne yeh shair kaha: tere muheet mein kahin johar-e-zindagi nahin. dhoond chuka mein mauj mauj dekh chuka sau das. to aakhri tajruba jo hai Iqbal ka, wohi sahi tajruba tha. to aap ko yeh jaanna hoga ke musalmanon par dour-e-zawaal aa chuka hai aur aap ko un
1:02:19ko revive karna hai, ehyaa karna hai. yeh farz nahin karna hai ke musalman wohi musalman aaj bhi hain jo pehle thay. jo musalman pehle thay, wohi musalman aaj hain. is is mafrooze ko khatam karna pare ga.
1:02:41yeh manna pare ga ke musalman apne daur-e-zawaal mein hain aur humein shuru se un ki islaah karni hai, phir se revive karna hai. maulana, agla sawal dhampur se mehtab sahib ne kiya hai.