maulana, agla sawal dhampur se mehtab sahib ne kiya hai. unhon ne aap se poocha hai ke musalmanon ki is bekhabari ka kaun zimmedaar hain jis mein aaj musalman mubtala hain? Is ke baray mein bataein. is ke zimmedaar to wohi log hain jo so called leader hain, mister bhi aur molvi bhi dono.
yani hadees mein kaha gaya tha ke وَعَلَى الْعَاقِلِ أَنْ يَكُونَ بَصِيرًا بِذَبَانِهِ yeh farz tha ke daur jadeed ka muta'ala kar ke samjha jaye is ko. lekin mere ilm ke mutabiq koi aik bhi musalman, urf se ajab tak, aisa nahi hai jis ne is liye muta'ala kiya ho ke woh samjhe ke what is daur jadeed to bekhabar hai, bekhabar hai.
main saaf kehta hoon ke maghrib ki qaumein poori insaniyat ke liye benefactor hain. unhon ne hum ko technology di, unhon ne hum ko ma'awin taraqqiyan dein. unhon ne daur jadeed, unhon ne daur qadeem se aik naya daur paida kiya jis ko hum kehte hain civilization. woh to muhsin hain, lekin hamare ulama, hamare mister dono, yani iqbal jaise log jo mister the aur
ulama, dono ne yahi kaha ke maghrib hamara dushman hai. Dono ne. ab yeh mujhe aik shakhs bhi nahi maloom jis ne yeh kaha ho ke maghrib ka bohat bara contribution hai. un ka ehsaan maano aur un ke liye dua karo, un ki hidayat ki koshish karo. isi ka raziya bhugat rahay hain.
Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.