Maulana Wahiduddin Khan

Tazkiyah and the Heart Hadith

“Moulana, you said that tazkiyah is not related to the heart, whereas there is a hadith that there is a piece in the body, i.e., the heart, when it is sound, everything is correct, when it is corrupt...”Asked by Zahid Khan, Pune

He answers at 1:04:04 in Deeper Meaning of Quran 17 05 2015 · 1 min 47 sec

His answer, in his own words
1:04:04
Maulana, agla sawal punay se Zahid Khan sahib ne kiya hai aur unho ne likha hai keh Maulana, aap ne kaha keh tazkiya ka talluq qalb se nahi hai, halankeh hadith hai keh jism mein ek tukra hai yaani dil, keh jab woh theek ho to sab durust hai, keh jab kharab ho to sab kharab hai.
1:04:27
keh is ko wazeh karein. dekhein, yeh tamseel ki zabaan mein, tamseel ki zabaan mein insani bolta hai, Quran mein bhi tamseel ki zabaan hai, jaise kaboot al ankaboot, koi ghar kisi ka, koi bakri ghar ki tarah hota nahi, jaal se bana hua. to bakri ke jaale ka, bakri jaala tard kar jab ghar mein aati hai, us ki misaal di
1:04:49
gayi hai kaboot al ankaboot. to is ka matlab yeh nahi keh woh jaale ka ghar. to yeh tamseel ko kehte hain hum tamseel, yaani symbolic language. aur doosri baat yeh hai keh aap arabi zabaan ki dictionaries dekhein to aap payein keh arabi zabaan
1:05:12
mein qalb ke maani heart ke nahi hote, dil dil ke maani samajhte hain log, qalb ke maani wohi hain jo aqal ke hain. aap Lisan al Arab mein parhein, jo arabi zabaan ki mashhoor lughat hai, qalb ke maani wahi hain jo aqal ke maani hote hain.
1:05:35
aur quran mein chaar chaar alfaaz istemaal hue hain: qalb, aqal, fuaad, nuha, hijr waghera. yeh sab aqal ke maani mein hain. is par maine likha hai, bohat aap parh liye meri kitabon mein. maulana, in ka ek aur sawal hai, unhon ne aap se poocha hai ke maujooda scientific discoveries ko
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.