55:34I will be looking forward to the future editions." Mashallah. Maulana, agla sawal Delhi se kiya hai Muhammad Hilal Khan ne. Maulana, yeh ek school ke student hain aur unka sawal hai ke "What is the punishment of those people who insult their parents? " pooch rahe hain punishment kya hai? samjhaiye, punishment se yeh masla hal nahi hota, badhta hai. Dekhein, punishment jo hai, woh sirf authority ka kaam hai. Aap ke paas koi authority nahi hai, jaise gharon mein jhagde hote hain, gharon mein aap kisi ko
56:13punish nahin kar sakte kyunke aap par authority nahin hai. to agar aisa kahin hai to aap ko samjhaiye, aur is mein main samajhta hoon ke fifty-fifty ka mamla hai. aisa nahin ke ek tarafah kisi ko, dono kuch na kuch be samjhi ka kaam karte hain, is se baat flare up ho jati hai.
56:36main is ko nahin manta ke yeh unilateral mamla hai, bilateral mamla hai. to dono ko samjhana parega. main ne jo tajurba zindagi ka woh yeh hai ke reporting hamesha log one-sided karte hain. har aadmi one-sided reporting karta hai, yaani ek ki baat batayega, ek doosri ki baat nahin batayega.
56:58bas yeh aam, itna zyada aam hai ke is mein koi exception nahin hai. mujhe de walon ko one-sided reporting to aap ko bhi main kahunga, aap is se bachen ke aap kisi ek ko blame dein aur doosre ko kahin ke woh bilkul be khata hai. is ko, is ko deep mein jayen, deep mein.
57:20jaise main ne abhi qissa bataya aap ko ke in ke leho ka ke bhai bachche meri baat sunte nahin, to bas main kahoon aap bade bachche kharab hain. in ki report ko sun kar main maan loon ke bachche bade kharab hain. to main ne jab scrutiny ki to maloom hua ke yeh bachchon ke sath biwi se ladte jhagadte
57:43hain, is se mahaul ghar ka kharab ho gaya hai. to aap aisa kabhi mat kijiye ke one-sided reporting karen. aap deep mein jayen, scrutiny kijiye, baat ko samjhen gehrai se, tab masla khatam hoga. aise ek ko blame dena, doosre ko be khata batana, is se koi masla hal hone wala nahin hai.
58:05maulana, agla sawal syed ayub shah sahib ka hai, jo hyderabad se unhon ne sawal kiya hai, aur