Reformist society vs state reform
“Is it necessary to form a reformist society, or is reform of the state more important? Please explain.”Asked by Altab Hussain, Miyawali, Pakistan
He answers at 52:13 in Example of the Prophet · 2 min 10 sec
52:12dekh rahe hain. pehla sawal hai altaf hussain sahib ka pakistan mianwali se, aur unhon ne likha hai ke kya aik islahi society tashkeel dena zaroori hai ya riyasat ki islaah zyada aham hai? is ke baray mein batayen. dekhen, islami riyasat koi mission hi nahi hai.
52:35islam mein koi na quran mein ayat hai, na koi hadith hai jis mein kaha gaya ho ke ab musalmano tum islam hukoomat qaim karo. yeh to sarray se mission hi nahi hai. mission jo bhi quran mein bataya gaya, a a insan to apna tazkiya kar, kyunke tazkiya ke zariye
52:54jannat milegi. to islam ka jo mission hai, woh fard ka tazkiya yaad rakhiye. alhamdulillah rabbil alameen jo hai, woh kahan waqe hota hai? fard ka dar waqe hota hai. yeh bohat hi important baat is ko hamein samajhna chahiye ke islam ka nishana fard hai.
53:20koi system ya koi hukoomat yeh hai hi nahi. islam ka nishana woh to halaat ke process ke tehat kabhi hoga, kabhi nahi hoga, lekin nishana nahi he. woh nishana yeh hai ke har aadmi alhamdulillah rabbul alameen ki speed pe jiye. har aadmi ke andar
53:40wo cheez paida ho jis ko quran mein kaha gaya hai: allah se hubb shadeed aur khauf shadeed. har aadmi apna tazkiya kare, kyunke aise afraad jab paida honge tab society banegi. aur society banegi tab saleh hukoomat banegi. ke hadees mein hai: kama takoonu kazalika yuwalla alaikum
54:01saleh afraad se saleh muashra aur saleh muashre se saleh hukoomat. agar aap na fard banayein na society banayein, aap jump kar dein, hamein hukoomat qaim karna hai to kuch bhi nahi hone wala siwaye siwaye takhreeb kari ke. yeh mere mutalliq ka khulasa hai.
54:24Maulana, agla sawal bhi mianwali pakistan se hai, zulfiqar khan sahab ka, aur unhone likha hai: What