Cause and cure for despair in Quran
“Please suggest the cause and cure for despair from the spirit of the Quran. The first thing is that despair is forbidden in Islam; the Quran says 'do not despair'...”Asked by طارق بدر, لاہور پاکستان
He answers at 1:18:36 in Example of the Prophet · 3 min 53 sec
1:18:36Maulana, agla sawal kia hai Tariq Badar Sahab ne Lahore Pakistan se, aur unhon ne likha hai Quran ki rooh se mayusi ki waja aur ilaj tajweez farmayen. pehli baat to yeh hai ke islam mein mayusi haram hai, quran mein hai ke la ta'yasu min rah allah, allah ki rehmat se mayus na ho, yeh hukum ke taur par.
1:19:05to mayusi to siray se islam mein jaiz hi nahi hai, dosri baat yeh hai ke mayusi kyun hoti hai aur is ka ilaj kya hai? to dekhiye, mayusi hoti hai asal mein
1:19:23jahan tak mein samajh paya hoon, yani deep thinking na hone ki waja se, deep thinking na hone ki waja se mayusi aati hai.
1:19:42misal ke taur par mein apna case batata hoon aap ko ke itni lambi meri umar ho gayi aur zindagi bhar mujhe bhi yeh daura pada ke falan waqea hoga, is se mayusi, falan waqea hoga, is se mayusi. ek do nahi,
1:19:58aaj mein sochta hoon to woh sab jo hua tha, wahi mere liye best tha. yahan se wahan tak jitne bhi waqeat mein ne sochta hoon, woh jo hua, wahi best tha. koi mujh se mulaqat kisi ko to mein aap ko ek sau ek qisse bataunga. kyun hota kya hai? insan ki limitations hain, aur sab se bari baat yeh hai ke insan future
1:20:23ko nahi janta, future ko nahi janta. to jis waqey ko mein ne ek kisi waqt samjhaya tha ke mere yeh mera kaam nahi hua, mera kaam bigad gaya,
1:20:39lekin baad ko mila, wahi to, wahi to, isi mein to meri kamyabi ka raaz tha, wahi mere liye best tha. to sab se, yani sab se zyada effective tareeqa yeh hai ke aadmi Allah par yaqeen rakhe ke jo ho raha
1:20:57hai, woh yani woh jo kaha Hazrat Ali ne, al khair fi ma waqa, yani what happened happened for my, for my betterment, jo hua mere, mere, aur chounke bohat se insaanon ki misalein milein gi aap ko, insaanon ki bohat se insaanon ki misalein milein gi ke jo kisi cheez ko le kar mayoos ho gaye thay, aur
1:21:21baad ke un ke betterment mein tha, woh to khud apne baray mein aap sochein. har aadmi mein sochta hoon ke agar soche to kabhi kisi cheez ko le kar woh jahan mayoos ho gaya tha, aaj jo dekha to lage ga ke woh to bohat acha tha mere liye.
1:21:41to yeh jo qoul hai, al khair fi ma waqa, what happened happened for my betterment, bohat hi sahih hai, is ko hamesha yaad rakhna chahiye aadmi ko. to wajah yeh hai ke aadmi mustaqbil ko, future ko nahi janta, kal kya hone wala hai, is ko nahi janta, is liye aaj woh samajhta hai ke mera baat,
1:22:06mera kaam bigar gaya. to wajah to hoti hai future ko na janna, aur ilaaj yeh hai ke is is jo sahabi ka yeh qoul hai, al khair fi ma waqa, what happened happened for my betterment, is par yaqeen karna,
1:22:23is par yaqeen karna. mein samajhta hoon ke yeh two point formula hai. yeh Maulana, agla sawal lete hain jo Pakistan se hai, aur unhon ne likha hai