1:04:48maulana, agla sawal miss tuti malhotra ka hai, dilli se. unhon ne likha hai: "How do we know that what we are doing is acceptable in the eyes of God? Please advise." dekhen, is ka peshagi aap ko pata nahi. peshagi aap ko koi, yani koi, koi assurance nahi mil sakta hai aap ko ke yeh acceptable ho gaya. isi liye hadith mein hai ke "al-iman ma raja' wal khauf" . iman jo hai, khauf aur umeed ke beech mein hota hai. hum sirf yeh kar sakte hain ke hum Khuda ki kitab ko, Rasool Allah ki sunnat ko padh kar yeh janiye ke kaun sa kaam Allah Ta'ala ko matloob hai.
1:05:37bas woh qabool hoga, yeh maut ke baad hi maloom hoga. maut se pehle aisa koi zariya nahi hai ke peshagi taur par maloom ho jaye ke qabool ho gaya. aisa, aisa mumkin nahi hai. albatta yeh zaroor mumkin hai ke hum peshagi taur par jald yeh jan lein ke hum sirat-e-mustaqeem par hain ya is se bhatke hue hain. yeh to maloom ho sakta hai. dono farq hain. dono ko farq samjhiye ke hum right path par hain ya nahi, yeh to maloom ho sakta hai. baqi yeh baat ke Allah Ta'ala ke haan woh accept ho gaya hai, yeh poore maloom mein to maloom hoga sirf maut ke baad.
1:06:19maulana, agla sawal dilli se hai, Mr. Luvpreet Singh ne likha hai.