44:35. Okay, we'll be starting with the question answer session now. All the online viewers are requested to send their questions on info@cpsglobal.org. Maulana sabse pehle ek comment padhna chahenge sawal se pehle, aur yeh comment bheja hai Dr. Safeena Tabassum ne Ajmer se. unhone likha hai ke Maulana aaj aap ka lecture itna wazeh tha ke pehli baar mujhe yeh pata chala ke naq saan ke baad sabr ki be hisab ahmiyat kyun hai. Jazak Allah. Maulana sawal bheja hai Maulana Iqbal Sahab ne Tamil Nadu se, aur unhone likha hai ke Maulana aaj hi yaqeen hua ke taqdeer par raazi hona kya hai, taqdeer par imaan kyun? Aaj hi pata chala ke truncation law of nature hai, isi ko taqdeer kaha gaya hai. Maulana kya yeh sahi hai? Theek theek kaha aap ne, sahi kaha aap ne, bilkul durust hai. Maulana agla sawal Dhampur se bheja hai Mahtab Sahab ne, aur unhone aapse poocha hai ke Maulana Sahab Umrah ka matlab kya hai aur kyun kiya jata hai, aur kya yeh karna zaroori hai? Iske bare mein batayein. Nahi, zaroori nahi hai. Farz to sirf Hajj hai,