Why does lack of contemplation weaken knowledge?
“Maulana, why is it that after discovering God, if there is a lack of contemplation and thought for some days, then the knowledge (ma'rifa) becomes weak?”Asked by Abdul Basit Umari, Doha
He answers at 1:21:29 in The Problem of Conditioning · 3 min 6 sec
1:21:29maulana, agla sawal doha, qatar se hai. maulana abdul basit umri sahib ka. unhon ne likha hai: "maulana, marifat ka masla aisa kyun hai ke khuda ko daryaft karne ke baad bhi agar kuch din ghor aur fikr mein kami ho jati hai to phir khuda ki yaad kaifiyat ke sath nahi aati?" maulana, is bare mein wazahat chahta hoon. dekhiye, yeh marifat ek din ki daryaft ki cheez nahi hai. kisi ek din aap jaan len ke do aur do mil kar chaar to hamesha ke liye ho gaya. marifat ka mamla aisa nahi hai. do aur do mil kar chaar to ek baar daryaft kar liya to ho jayega. lekin marifat to har roz daryaft karni hai.
1:22:14aap ko quran mein hai ke kul yaum huwa fi shaan yaani har din allah ki taraf se aap ko kuch special aana chahiye. har din is aayat mein isi ka zikr hai ke har din allah taala ki taraf se kuch special aata hai. to wahi wo isi inspiration se to yaani imaan mein izafa hota hai. isi se marifat mein izafa hota hai. to jab aap allah se taluq rakhen ge, allah ko yaad karte rahen ge, allah se dua karte rahen ge, allah ki kitab mein mutala karte rahen ge to har din naye naye item aayen ge marifat ke.
1:22:58kyun ke marifat ke item jo hain, wo wo in gunt hain, yaani billion trillion se bhi zyada hain. to agar marifat ke naye item aana band ho jayen to phir to jamood aa jayega. jamood is wajah se yeh sahi nahi hai ke marifat ek baar mil jati hai. nahi, marifat har subah sham us ke item aate rehte hain. isi liye wo ek ek zinda marifat bani rehti hai hamesha. kabhi is par jamood nahi aata hai. jamood ka matlab hai stagnation.
1:23:35okay, we will end the session now. thank you.