“We often confuse needs with comforts, spending all our time pursuing the latter and neglecting higher goals. Please explain how distinguishing between need and comfort can solve our problems.”Asked by Abdul Latif, Karachi, Pakistan
molana agla sawal karachi pakistan se hai abdul latif sahib b ka unhone likha hai hum bohat si aisi cheezon ko apni zaroorat samajhte rehte hain jo haqeeqatan hamari zaroorat nahi hoti balkeh aaram o sahulat ke saman hote hain aur phir hum un ke husool ke liye din raat mehnat karte rehte hain aur aala maqsad ke liye waqt nahi nikal paate maulana sahib aj ka insan agar zarurat aur sahulat ke darmiyan farq samajh le to is ke bohat se masle apne aap hal ho jayen ge baraye karam aap is masle par roshni dalen woh to aap ne khud hi achi tarike se batati hai yahi baat hai zarurat se zyada jab aap chahen ge to is ki ek price hogi woh price yeh hai ke aap koi bara kaam nahi kar sakte
bas sahoolaton mein aur comfort mein aur luxury mein phanse rahenge jo man of mission hota hai jis ko koi bara kaam karna hai woh hamesha sadgi ko pasand karta hai zarurat par ektafa karta hai
tamam jo unhon ne bare bare kaam kiye hain woh un ka muamla aise hi hua mein aik martaba aik aadmi mein aik martaba rajasthan gaya aik qissa apna arz karta hoon rajasthan mein maine suna ke yahan aik shakhs hai jis ne aik aik naye andaz ka hospital khola hai tb ke patient ke liye to unhon ne kaha ke wahan woh aisa hai ke agar wahan ja ke khwahish kuch din rahe tabhi acha ho jayega to woh bilkul yani baghon ke darmiyan tha woh har qism ke phaldar drakht har qism ke phool har qism ke yani behtareen yani sabza daar
is qism ka woh hospital tha woh tha TB ke logon ke liye to main ne kaha bhai woh kaun aadmi hai jis ne aisa hospital banaya hai ke woh hospital kya hai ek bahut umda qism ka garden hai bahut bada to main ne kaha main ne kaha is se main milunga main
to main gaya is ke haan is se mila to bohat zabardast hospital tha woh abhi bhi woh hospital hai maine abhi daryaft kiya is aadmi ke baray mein to maloom hua ke woh bohat boorha ho gaya woh aadmi ab jab main is kamre mein dakhil hua to yaqeen ki jiye ke is mein aik bhi na kursi thi na mez tha na sofa set tha sirf mamooli qism ka farsh bicha hua tha isi par baitha hua tha woh aadmi mamooli qism ka farsh
isi par mujhe hi baithna para to ab bohat kam bolta tha woh aadmi kapre is ke jism pe bohat hi sada kapre bohat hi sada woh aik aik poori tasweer tha kis tarah se ke bara kaam karne wala jo hota hai woh is ki zindagi sada hoti hai abhi maine telephone kar ke poocha tha ke woh aadmi ke baray mein maloom hua ke woh bohat boorhe ho gaye hain ab ab woh kaam nahi kar sakte hain to yeh to poori tareekh mein jinhon ne koi bara kaam kiya hai un ki zindagi hum sada rahi hai jitne scientist hote hain aap dekhiye har scientist bilkul sada zindagi guzarta hai yeh to bekar log hain jin ko koi kaam nahi karna hai khali kha kha ke mote hona hai woh yeh sab baaten karte hain maulana agla sawal tamil nadu se hai maulana asrar umri sahib ka unhon ne likha hai maulana arab ke aik aalim ne apni kitab mein musalmanon ki nakami ka sabab jihad ka na hona aur 52 muslim countries ka falasteen ke jihad mein sath na dena bataya hai is ke baray mein aap kya kahen ge yeh to yani akhri had tak baseless baat hai
Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.