20:38Maulana, un ka ek aur sawal hai. unhon ne aap se yeh bhi poocha hai ke "Why is Eid celebrated at different places on different days? Please explain its relation to the moon." dekhein, yeh to do calendar hain, solar calendar aur lunar calendar. to aam taur par sabhi mazhabon mein ghaliban yahi hai ke lunar calendar par mazhabon ki tareekhein hoti hain, wahi islam mein bhi hai.
21:12to jab aap lunar calendar par rakhenge aur chand ko dekhne par is ka woh yeh depend karegi, to yeh sab farq hoga. to it is but natural yeh koi yani koi yani taqaddus ki baat nahi hai. yani solar system, solar calendar par hota hai, tab bhi wahi baat thi, is par tab bhi hoti.
21:37solar calendar par ho, tab bhi ek sawal kar sakta tha koi aadmi ke bhai lunar calendar par kyun nahi? to yeh koi sawal nahi hai, na koi masla hai, na koi religious cheez hai. aam taur par mazhabon mein yahi hai, jahan tak main janta hoon ke solar calendar par mazahib mein tareekhein nahi hua karti, lunar calendar par hoti hain, wahi islam mein bhi hai.
22:01to is mein koi purasarar cheez nahi hai, koi is mein mystery nahi hai. ji Maulana, un ka sawal ka ek hissa yeh bhi tha ke Eid jo hai, woh alag alag jagahon pe, alag alag din pe kyun manayi jati hai? woh to zahir hai ke jab yani woh woh waqt badalta hai, woh waqt badlega to din hi badlega.
22:29is waqt yahan hum log hain, yahan din hai, is waqt america mein raat hai. to dono jagah chand akatha hi dikhai dega. wahan dekhne ka jo waqt ka yahan mukhtalif hoga. to zameen jo ghoom rahi hai, gami jo stationery nahi hai, agar zameen stationery hoti to yeh farq na hota.
22:53zameen ghoom rahi hai, is liye to farq rahega hi. to yaani yeh to nizaam hai nature ka, is mein hum kya kar sakte hain? maulana, agla sawal dilli se hai mr kaif ka.