Repayment of loans after reformation
“A person had taken loans from people, then he became associated with Al-Risala Mission and reformed his life. What should he do about the loans?”Asked by Saira Latif, Karachi
He answers at 1:05:39 in Material Science Vs Spiritual Science 20th May 12 SLOW · 1 min 48 sec
1:05:39maulana, agla sawal abhi karachi se hai miss saira latif ka. unhon ne likha hai: "ek shakhs ne logon se qarz le rakha hai, baad mein woh shakhs al risala mission se wabasta ho gaya aur apni zindagi ki islaah kar li. ab woh shakhs is tarah dua mangne laga: aye allah!
1:06:06is dunya mein mere halaat is tarah bana de aur mujhe tofeeq de ke main logon ka qarz ada karoon. Aur agar main qarz ki adaiygi se pehle mar gaya to ae Allah! to meri taraf se meri talafi kar dena." sawal yeh hai ke kya allah taala ek bande ki taraf se us ke qarz ki talafi kar dega? nahi, yeh sahih baat nahi hai. is qarz ki talafi sirf wohi aadmi kar sakta hai jis se aap ne qarz liya hai.
1:06:35jo log, jis aadmi ne kisi se qarz liya hai, ya to woh qarz ada kare ya us ko insaan ja ke kahe ke bhai maaf kar do. agar insaan, is insaan ne maaf kar diya to maaf ho jayega. baqi is tarah ki dua jo hai, yeh sahih tareeqa nahi hai.
1:06:56yeh sahih tareeqa nahi hai. qarz ke muamle mein dekhiye, yeh hai shariyat ka masla ke qarz maaf nahi hota. ya to aap qarz ada karen ya isi insaan se ja kar kahain ke bhai mein mein is haal mein nahi hoon ke tum ko de sakoon qarz, to mujhe maaf kar do.
1:07:17dua se yeh masla khatm nahi ho sakta hai. is insaan se miliye, is insaan se kahiye, agar woh insaan maaf kar de to maaf ho jayega. maulana, agla sawal hai mister ashish tiwari ka.