1:34:22Maulana, agla sawal Delhi se Maulana Zakwan Nadvi sahib ka hai. unhon ne aapse do Quran ki ayaton ko wazeh karne ke liye kaha hai. pehli ayat chapter two of Quran, words number 201 hai, jis mein aya hai: "aur Lord grant is good in this world as well as good in the world here after. second jo hai, woh chapter
1:34:4928, words number 77 hai, jis mein aaya hai: "seek the home of the here after by means of that which God has bestowed on you, and do not forget to take your portion in this world." sir, is ka sorry, pehla ayat bhi nahi aaya? nahi ji, dekhein pehli ayat toh woh hai: "rabbana atina fid dunya hasana wa fi al-akhirat wa qina azab an-nar." ji ji, is pe bhi bai'at karoon ke
1:35:19mujhe is mein bhi ek discovery hai, aur bohat ajeeb discovery hai: "rabbana atina fid dunya hasana wa fi al-akhirat hasana wa qina azab an-nar." tarjuma is ka yeh hai ke: "ae hamare rab, de hum ko dunya ka hasana aur de hum ko akhirat ka hasana, hum ko bacha akhirat ke azab se." toh main ne socha ke dunya ka hasana toh Allah ne de rakha hai, already hamari dua ke baghair hi.
1:35:50yeh bohat ek ajeeb baat mujhe daryaft hui is mein, kyunke dekhein Quran mein hai ke: "wa atakum min kulli ma saltamoo" hum paida hote nahi hain, aur dunya mein sab kuch peshgi taur par woh maujood hai. yahan suraj hai, yahan pani hai, yahan oxygen hai, yahan zameen se ghale nikal rahe hain, yaani sari
1:36:15cheezein jo hum chahte hain, woh peshgi maujood hain yahan par. toh yahan kyun kaha gaya: "rabbana atina fid dunya hasana"? ae hum, ae Allah, hamein de dunya ka hasana, woh toh already mila hua hai. toh main ne is ayat ko is tareeqe se padha ke: "rabbana qad atina fid dunya hasana, fatina
1:36:38fil akhirat hasana". ae Allah, tu ne dunya mein hamein de diya hasana, toh akhirat ka hasana bhi de de, already de diya tu ne. yaani is mein ek ek hidden mafhoom hai is ayat mein ke aap sochein ke main mang raha
1:36:57hoon Allah taala se dunya ka hasana, woh toh already mila hua hai. Quran khud Quran se sabit hai ke: "wa atakum min kulli ma saltamoo" sab kuch de diya tum ko jo jo tum ko darkar tha dunya mein. toh main ne yeh dua is mein se paayi ke: "khudaya, tu ne dunya mein sab kuch de
1:37:21diya jo mujhe chahiye tha, ab akhirat mein bhi de de jo mujhe darkaar hai." "rabbana qad atana fi ad-dunya hasana, fatna fi al-akhirat hasana" to ek ajeeb is ke andar ek ek ek dua ka mazmoon chupa hua hai, bohat ajeeb. aur doosri jo aayat hai, woh is aayat mein: "wa ratan sanusibuka" kya hai? woh alfaaz: "wa ratan sanusibuka min
1:37:47ad-dunya". "wa ratan sanusibuka min ad-dunya" to is ko log samajhte hain ke dunya mein jo khana kama raha hai, woh bhi haasil kar lo. yeh matlab hargiz nahi hai.
1:38:00is ka matlab yeh hai ke dunya mein Allah taala ne aap ko bheja hai, yahan yahan settle kiya hai. to dunya se jo le ke jaana hai akhirat ke liye, woh is ko na bhool, is ko haasil kar, aur is ko le kar akhirat mein ja.
1:38:22yeh matlab hai is ka. yaani aayat ka tarjuma yeh hai ke: "na bhool dunya se apna hissa". yaani hissa ka matlab hissa akhirat. "na bhool dunya se apna hissa akhirat".
1:38:35yeh matlab hai ke ke dunya mein khoob khoob taraqqi karo, khoob dunya banao. yeh matlab hargiz nahi hai is ka. "wa ratan sanusibuka min ad-dunya" na bhool dunya se hissa akhirat. yaani dunya mein aisi zindagi guzaar guzaaro jo akhirat tumhare kaam aaye.
1:38:53yaani wohi cheez hai yeh jo hadees mein in alfaaz mein hai: "ad-dunya mazrat al-akhirat". yaani isi hadees ki isi aayat ki tashreeh hai: "yeh ad-dunya mazrat al-akhirat". dunya akhirat ki kheti hai, yaani fasal yahan bona hai, aur wahan ka is ka is ka phal wahan paana hai.
1:39:15yeh matlab is aayat ka hai. hargiz is ka matlab nahin ke dunya mein khoob hasil karo. yeh yeh is aayat ka matlab nahin hai. maulana, agla sawal dilli se hai mr muhammad furqan sahab ka.