Maulana Wahiduddin Khan

Muslim role after Ayodhya verdict

“What should be the role of an individual Muslim after the Ayodhya verdict?”Asked by شوانہ, رائپر

He answers at 1:07:34 in Art of Crisis Management · 11 min 43 sec

His answer, in his own words
1:07:34
maulana raipur se miss shwana ne sawal kiya hai, unhone likha hai: "what should be the role of individual muslim after the ayodhya verdict?" yahi yahi ke masjid ja ke dua karein. aaj kal jo taqreerein hoti hain na, band kar do ayodhya ki masjid ke bare mein. taqreerein band karo, jalse band karo, allah taala se dua karo. bas agar koi aql nahi, kaam nahi karti aap ki. aur mera formula to aap lein, to aap raazi ho jayein is pe. relocation par abhi baat khatam.
1:08:18
yaani main wahan gaya hoon pehle, ab bhi gaya hoon. pehle to wahan hua karta tha, ab main gaya hoon to wahan koi ek eent ka ek tukra bhi nahi hai babri masjid ka. yaani babri masjid jo hai, wahan exist hi nahi karti, sarr se roeen ki shakal mein bhi nahi hai. yaad rakhiye, log samajhte hain ke babri masjid khadi hui hai wahan par. wahan to babri masjid ki ek eent bhi nahi hai, wahan to back shift mandir hai, woh non existent hai. woh to jo babri masjid exist nahi karti, us ke upar tehreekein chal rahi hain. ab dekhein, is se zyada stable policy koi ho sakti hai?
1:09:02
yaani kisi ko yaani. aur ek bahut badi ek gunah kar rahe hain musalman. yaad rakhiye, woh bhi sun lijiye aap is mamle mein. ek gunah, gunah, gunah! woh kya hadees mein aata hai ke sirf teen masjidon ka special mamla hai, woh hai makka ki masjid aur madine ki masjid aur yerushalam ki masjid. baqi sab masjidien barabar hain. yeh baqayda hadees hai ke teen masjidon ke sath sari masjidien barabar hain. ab aap ko agar pata ho, nahi pata ho to ja kar ke dekhiye border par rajasthan aur haryana aur punjab, jahan ke pakistan sarhadein milti hain, abhi bhi wahan pe masjidon ki roeen padi hui hai. masjidien tod di gayi hain.
1:09:56
mein ne khud dekha hai, koi masjid tod di gai. is masjid ko unhon ne ghar bana liya, yeh masjid bail bandhne lage, kuch bhi kiya. to wahan par kyun nahi aap yeh jahad karte hain? aap babri masjid single out kyun karte hain? kisi ek masjid ko single out karna, yeh to islam mein bilkul jaiz hi nahi hai. sawa teen ke agar aap ko tehreek chalana hai to sari masjidon ke liye chalaie. sainkaron masjidain jo dhai gai hain partition ke waqt border par, un sab ke liye aap chalaie. hangama kijiye!
1:10:37
ek masjid ko agar aap kar ke us par tehreek chalate hain to aap gunah ka kaam karte hain. yaad rakhiye, kisi ek masjid ko single out nahi kar sakte aap, ya aap ko ijazat hi nahi hai islam mein. hadith mein aata hai ke "la tashudd ar rihal illa as salah wal masajid". yeh makka ki bait, makka ki jo woh hai masjid haram makka, us ko kaha jata hai. madine ki masjid ko masjid nabwi kaha jata hai aur yerushalayim ki masjid ko masjid aqsa kaha jata hai. yeh teen masjidain jo hain islam mein, in ka khaas darja mana gaya hai. baqi sab barabar hain. to kaise musalmanon ne aisa kiya ke babri masjid ko unhon ne single out kiya?
1:11:26
is mein hangama 60 baras hangama kiye hue hain, jabke isi desh mein sainkaron masjidain aaj bhi ja ke koi dekh le un ki halat border par. wohi haal hua hai jo jo ayodhya mein hua. us waqt aap chup kyun hain? yeh to islam mein jaiz hi nahi hai. to bohat hi zyada sochne ki zaroorat hai ke sara is mein musalmanon ka jo hai tareeqa, sab ka sab islam ke khilaf hai. a se zed tak babri masjid ke muamle mein musalmanon ka tareeqa ek zed tak, aur yeh bohat zabardast allah taala ka sawal kiya ja raha hai musalmanon se.
1:12:12
bohat zabardast sawal kiya ja raha hai. yaad rakhiye, isi point ko kya musalman jawab de sakte hain? allah taala kya tum ka right tha? is is right se tum ne ek masjid ko single out kiya, aur baqi masjidon ko jab ka wahi anjam hua to us ke bare mein chup ho gaye. tum kyun tum ne aisa kiya? yeh saada baat nahi. yaad rakhiye, bohat hi gum bheer baat hai, bohat hi serious baat hai, bohat serious baat hai. yeh masla hindu muslim ka nahi hai, yeh masla barah e rast islam ka hai, barah e rast allah taala ke qanoon ka hai. aur bilashuba is mein musalmanon se poocha jayega qayamat mein ke tum ne kis right, kis haq se tum ne ek masjid ko single out kiya?
1:13:01
batao to kya musalman jawab denge is ka? yaad rakhiye, yeh saada baat nahi hai. maulana, yeh sawal doctor farida khanam ne kiya hai nai dilli se. unhon ne poocha hai: "what is the concept of leadership in islam? what is the criteria to judge a leader? there are innumerable leaders among the muslims. how can they take a decision unitedly? is there any possibility of this?
1:13:36
or we are doomed to live under the shadow of incompetent leaders?" dekhiye, islam mein leader ko imam kaha jata hai. imam to islam ka usool hai: "amruhum shura baynahum". yani jab zaroorat ho imam muqarrar karne ki, yani leader muqarrar karne ki, to us ke liye mashwara kiya jaye, discuss kiya jaye, sab log baith kar rai karein, aur consensus se jis aadmi ko tay ho jaye, us ka imam maan liya jaye. yeh to ideal baat hai, ideal baat ke jab bhi ek leader farz kiye mar gaya, ek leader ne resign kar diya kisi bhi baat se,
1:14:33
wo paida hoga. yani leader ki na raha to log baithein aur discuss karein, aur jis aadmi ke naam par consensus ho jaye, sab log us ko jo leader maan lein, sab log maan lein us ko. Yeh hai ideal surat. Doosri surat jo hai secondary darje mein, woh kya hai? woh hai is ke liye bhi hadith mein bata diya gaya hai, woh yeh hai ke "ittaba' sawad al-a'zam".
1:15:15
ittaba' sawad al-a'zam ka matlab yeh hai ke kisi bhi tareeqe se agar koi aadmi leader ban gaya, chahe ghalat tareeqe se bana ho kyun na ho, to maan lo us ke saath jhanda na uthao. yani ek ideal shakal yeh hai ke mashware se, discussion se ke kisi shakhs ko banaya jaye aur sab log us ko maan lein. Lekin agar yeh ideal shakal possible na ho aur koi aadmi kisi bhi aur tareeqe se leader ban jaye to phir us ko maan lijiyega aap taake kam se kam peace qaim rahe. aap jab maan lenge to kam se kam peace to qaim ho jayegi.
1:16:00
bas yeh do shakalain hain. Teesri shakal jo aaj kal musalmanon mein hai ke khare ho jatay hain jhanda le kar ke, jaise musalmanon ke muslim karne mein democracy kyun nahi hai? Is ki misaal aap Pakistan dekh lijiyega, ek election hoga, koi jeetega, ab kya hai? Doosra khara ho jayega. Rigging hui hai, rigging hui hai, rigging hui hai. Ab is ko down karne ke liye yeh Islam mein jaiz nahi hai. Islam mein jaiz hi nahi hai. Yeh jaise bhi elect ho kar ke, jaise bhi woh ban kar ke seat par aa gaya to bas maan lijiyega us ko.
1:16:43
yeh hai Islam ka tareeqa. Kyun ke Islam mein dekhiye, jo jo supreme hai, woh kya hai? Normal si peace. Yeh hai supreme Islam mein. is par bohat sari hadithain hain aur yahan par detail ka mauqa nahi hai kyun ke main mukhtasaran yahi kahunga ke agar musalmanon mein yani constructive soch ho, woh is position mein hon ke discussion kar ke ek aadmi ko bana dein to bara acha hai. nahi to jo aadmi bhi kisi bhi tareeqe se ho jaye, woh chahe rigging kar ke ho jaye, tab bhi us ko maan lijiyega kyun ke ittaba' sawad al-a'zam farmaya Rasool Allah (SAW) ne.
1:17:29
Maulana, un ka ek sawal aur hai. Unhon ne likha hai ke "there was no media in the thirteen century, that is why Muslims were able to opt for the policy of inaction. Now is there any possibility of Muslims refraining from giving provocative statements in the media and aggravating the situation further?" Bilkul, hum ko dekhiye, hamari team yeh sab nahi kaam kar rahi hai. train
1:18:00
karne ki zaroorat hai. Hum train kar rahe hain logon ko to hamare jo itne saathi hain, koi sab kaam nahi karta. Pehle jo hai traditionally log aise thay, ab aap ko logon ki combine ki re-engineering karni hogi. Bas yeh hai. Pehle to apne aap hi log jo thay, woh kingship ka zamana tha. Log chup chap rehtay thay. Ab woh daur khatam ho gaya, woh zamana khatam ho gaya, woh tradition toot gayi. Lekin ab aap logon ke mind ki re-engineering kijiye, logon ko phir se samjhaiye. Abhi aaj mere paas ek talib ilm aaye, ek sahab ka, subah unhon ne kaha ke aap ki kitabein parhne se pehle main sab ko dushman samajhta tha. Sab dushman hain, Hindu dushman hain, Yahudi dushman hain, American dushman hain, Islam ke sab khilaf sazishain karte hain.
1:18:50
Sab ke khilaf mere dil mein dushmani hoti thi. Aap ki kitabein parhne ke baad mera zehan bilkul badal gaya. Ab main samajhta hoon ke sab insaan hain, koi dushman nahi hai. Yeh hai re-engineering of mind. to pehle jo cheez apne aap haasil ho jati thi, us ke liye aap ko koshish karni paregi. itna hi farq hua hai. maulana, agla sawal kya hai? mister jaan butt ne afghanistan se.
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.