1:19:17maulana, agla sawal kya hai? mister jaan butt ne afghanistan se. unhon ne poocha hai ke "quiet often one sees that islamic principles and values are being better observed by non muslims than by muslims. at the same time, some muslims have abandoned the principles of islam while claiming allegiance to the religion of the prophet. is it time for us to reassess what constitutes a muslim?
1:19:50should we not consider a muslim as one who adheres to islamic values rather than one who claims allegiance to islam while contravening its principles?" kindly comment. agar main sahi samajhta hoon, samjha hoon is question ko to is ka matlab ghaliban yeh hai ke hum declare karein ke yeh musalman jo hai islam se door ho gaya hai. ghaliban yeh matlab hai. maulana, woh islam ko adhere kar raha hai. ji, is ko kahein ke bhai yeh true muslim hai. jo hat gaya, us ko declare karein ke islam se hat gaya. yeh matlab hai. maulana, declare ka word nahi aaya, but jo aap matlab yahi hai, matlab yahi hai.
1:20:32ji, dekhein, yeh islam ki taleem nahi hai. islam mein dekhiye, ek hai ideal, ek hai practical. ek hai ideal, ek hai practical. to ideal situation agar yani achievable na ho to hamein practical par raazi hona padta hai. to ideal to wohi hai ke main saare musalman islam ko follow kar rahe hon. bahut achi baat hai, lekin islam ko agar follow na karein, un mein degeneration aa jaye, tab hamein kya karna hai?
1:21:13hamein samjhana hai, preaching karna hai, fatwa nahi dena hai. fatwa activism islam mein hai nahi. aaj kal jo fatwa active chala hua hai na, islam mein nahi hai. yeh sab galat hai. misaal ke taur par dekhiye, ek firqa hai, us ko ahmadi firqa kehte hain, kuch log qadiyani kehte hain is ko. is ke baad khoob fatwa activism chalaya gaya. yeh mere nazdeek sarapa galat tha bilkul. yani agar kisi ne aisa yani baat kahi thi jo aap ke nazdeek islam ke khilaaf hai to aap samjhaiye bujhayein is ko.
1:21:53fatwa dene ka matlab kya hai? yeh kafir hain, yeh islam se nikal gaye hain, yeh islam mein hai hi nahi. imam muslim ne likha hai, mere paas maujood hai ek kitaab ke "la yukaffir ahadun min ahlil qibla". "la yukaffir ahadun min ahlil qibla" y ani jo qibla rukh par namaz padhaye, us ki takfeer nahi ki jayegi. ab aap jaiye, agar qadiyaniyon ko dekhiye, ahmadi logon ko dekhein to qibla ki taraf namaz padhte hain. woh un ka, woh namaz padhte hain, un ka, un ka, un ka kaba, un ka qibla bhi kaba hai. to aap ne takfeer kyun ki un ki?
1:22:37to yeh jo hai saare ulama mashgool the yani qadiyaniyon ya ahmadiyon ki takfeer mein, yeh bilkul galat kaam kiya unhon ne. aap ko dawat karna hai, aap ko samjhana hai, aap ko yeh right hai nahi ke takfeer karein. aap declare karein ke yeh kafir hai, yeh phir siddiq hai, yeh falan hai. aap ko, aap ko "you have no right to declare such fatwa". "you have no right to issue such fatwa". to chahe qadiyani ka masla ho, chahe ahmadi ka masla ho, chahe brelvi ka masla ho, koi bhi masla mein aap ko ikhtilaf ho sakta hai, lekin aap ko fatwa dene ka haq nahi hai. aap ko samjhaiye, islah kijiye, tablegh kijiye, dawat kijiye.
1:23:33to yeh bohat, yeh, yeh, yeh is ko kehte hain "ghulo extremism". extremism islam mein hai nahin. "la ghulo fil islam" yeh dard se fatwa dete hain. to qadiyaniyon ke maamle mein ya ahmadiyon ke maamle mein jo ulma ne kiya, woh sab ghulo tha. ghulo dard se fatwa de diya ke yeh kafir hain, aur haalankeh un mein se kisi ne jahan tak mein janta hoon, yeh nahin kiya ke woh logon se mile, hamdardi ke sath, kharkhay ke sath samjhaye ke tumhara aqeedah kya hai. samjhe is poore aqeedah ko ke aap waqatan tum daawa karte ho ke main nabi hoon ya kuch aur tum kehte ho, is ko samjho. aur phir agar tumhare nazdeek woh galat un ka aqeedah hai to is ko samjhao, un ke aqeedah ko durust karo
1:24:20. bas fatwa dena jaiz nahin, aur marna kaata aur bhi najaaiz hai. aaj kal kya hai? marna kaatna shuru kar dete hain, yaqt al had shuru ho jata hai. yeh sab bilkul islam ke khilaf hai. sirf hamare liye aik hi option hai, woh hai dawat, islah, tafheem. bas "we have no option other than this". yeh mein poore yaani poore conviction se keh raha hoon ke yahi islam hai, aur is ke khilaf jo baat log kehte hain, woh islam nahin hai, woh un ke apne ghar banaya hua islam hai.
1:25:06maulana, yeh sawal kiya hai maulana abdul basit ne doha, qatar se. unhon ne likha hai: "maulana hazrat ali ka aik waqia mein ne parha tha ke kisi jang mein jab hazrat ali ne aik mushrik par qaboo paya to us ne ali ke munh par thook diya. to hazrat ali ne aise mauqe par aik baat kahi aur use qatl karne ki bajaye chhod diya. poochha gaya to bataya ke mein agar us ke thookne ke baad qatl karta to woh khuda ki rah mein na hota, balke mera jazbati amal hota." maulana, is mein jazbat ko aur iman ko alag kiya gaya hai,
1:25:51magar aaj jazbat hi ko islam ki alamat samjha ja raha hai. aisa kyun hai? bhai, aisa kyun hai? ji, musalman daur-e-zawal mein hain, degeneration un ka ho chuka hai. yeh to quran hadith se sabit hai ke musalmanon ka aik zamana aaye ga ke jab koi degeneration ho jaye ga. lam yabqa al islam illa ismuhu. islam ka sirf naam baqi reh jaye ga, yahan tak ke masjidon mein namazi hon ge, lekin hidayat nahin hogi un mein.
1:26:27masajid aamirah, kharab khuda, yeh masjidain namaz bhari hon gi, lekin hidayat se khaali hon gi. yeh to, yeh to hone wala tha, aur yeh to law of degeneration jo hai, sab ke liye hota hai, koi is musalman ke liye nahin. ibn khaldun ne likha hai ke "lil-quwam a'maar kama lil-afraad a'maar". jis tarah se afraad jo hain jawan hote hain, phir boodhe hote hain, aisi qaumein bhi jawan hoti hain, boodhi hoti hain, matlab un ka degeneration hota hai. to musalman aaj kal degenerated lot hai, mein to un ko manta hoon,
1:27:07mein un ko degeneration ke aakhri hadd par samajhta hoon. in logon ko quran hadith in ka aik business hai, bas is ki spirit kahin maujood nahin hai. jis maamle mein dekhiye, jis maamle mein dekhiye, woh quran hadith hate hue hain, woh to daur-e-zawal mein hain, yeh aur aur zawal to har qaum ko aata hai. zawal, daur-e-zawal jo hai, aisa nahin ke musalman exception hain. yeh isaiyon ko zawal aaya, mazhabi mazhabi zawal, yahudiyon ko mazhabi zawal aaya, to musalmanon ko mazhabi zawal aaye ga. to ab hamein jo karna hai, woh hai ke phir se phir se logon ko samjhayein,
1:27:52phir se logon ke zehni ta'ameer karein, jis ko mein kehta hoon "re-engineering of mind". jo existing situation hai musalmanon ki, woh to yahi hai, lekin hamesha aisa hota hai ke aap in ko samjha bujha kar ke aik naya insan bana sakte hain. jaise maine bataya ke aaj mere paas jo telephone aaya, ke woh aadmi ne kaha ke main sab se nafrat karta tha, meri kitabein padhte padhte ab sab ka woh kharkha ban gaya, sab ko insan samajhne laga. to logon ke zehan ko badlie, logon ke soch ko badlie. yahan se yeh hai "da starting point".
1:28:34mol ana, yeh sawal kiya hai Mr Khwaja Kaleemuddin ne Pennsylvania, USA se. unhon ne likha hai: "Maulana sahib, I would like to share with you a similar invaice attitude of Muslims here in the US a.