Maulana Wahiduddin Khan

Is Babri Masjid response like Palestine?

“Regarding the Babri Masjid verdict, the court gave a share to Muslims, which was better than before; Muslims could have accepted it and focused on dawah, but instead they are filing a Supreme Court case. Is this not the same situation as what happened in Palestine?”Asked by Maulana Abdul Basit Umari, Doha, Qatar

He answers at 1:40:22 in Art of Crisis Management · 8 min 42 sec

His answer, in his own words
1:40:22
maulana, yeh sawal kiya hai maulana abdul basit omri ne doha qatar se. unhon ne likha hai: "maulana babri masjid se mutalliq adalat adalati faisle mein musalmanon ko bhi ek hissa dene ki baat kahi gayi hai. yeh pehle se to behtar thi, musalman is ko accept karte aur dawat ul Allah ke liye poori tarah mustaed hote, magar aisa nahi hua. ab supreme court mein muqadma dair karne ki baat kar rahe hain. kya yeh soorat e haal wahi nahi hai jo arab mein falasteen ke mutalliq hua? 1947 mein jo baat kahi gayi, to usay musalmanon ne mana nahi. ab musalman is se bhi hath dho bethe hain.
1:41:11
is ke baray mein batayen. haan, sahi baat hai. 1948 mein falasteen ko taqseem kiya gaya, us ko partition kiya gaya. roughly adha diya gaya yahoodi logon ko, adha diya arabon ko. musalmanon ko milna chahiye tha is ko, maan lekin unhon ne kaam laga diya, aur aaj tak kaam hi lag raha hai. aur jo tha, woh bhi kho kho diya arabon ne. dekhiye, controversial mamlaat mein aap ko status quo ko manna parta hai. yaad rakhiye, controversial mamlaat mein agar status quo na manen to kabhi bhi baat khatam nahi hoti,
1:41:55
kabhi baat khatam nahi hoti. 48 mein jo status quo tha falasteen ka, us ko manna chahiye tha. un ko kashmir mein yahi jo 47 ke baad jo status quo tha, us ko manna chahiye tha. aisi yahan bhi jo status quo tha babri masjid mein, woh maan lena chahiye tha. is ko nahi mana to dekhiye, lad rahe hain, mar rahe hain, kat rahe hain, tabaah ho rahe hain, har har har jagah faida kuch bhi nahi. you have to accept the status quo, these only option for you. maulana, yeh sawal kiya hai mr faiz ne california se.
1:42:37
unhon ne poocha hai ke abu huraira, abu huraira reported that allah messenger once said: "when a human being dies, all of his deeds are terminated, except for three types: an ongoing sadaqa, a knowledge of islam from which others benefit, and thirdly a righteous child who makes dua for him." the abu hadith clearly indicates that dua is helpful to the dead. what is your comment on this? nahi, nahi, woh aap ne sahi hadith nahi naqal ki hai. is tarah nahi hai.
1:43:20
woh hadith is tareeqay se hai ke woh beta jis ke bananay mein baap ka haath ho, to choonke is bete ko baap ne banaya hai, saaleh banaya hai, naik banaya hai, to is wajah se is ko sawab milta rahega. yeh nahi ke woh beta dua kar dega to is ko sawab mil jayega. yeh matlab nahi hai. is hadith ko phir se parhiye. hmm, y ani woh cheez jo baap ke marne ke baad baqi rahi, woh ek saaleh beta hai jis ke bananay mein baap ka hissa tha.
1:43:53
agar baap ki niyat na ho shamil, apne aap woh saaleh hoga, tab bhi nahi kuch milega is ko. yaad rakhiye, yani baap ka intention agar shamil hai bete ko bananay mein, to choonke baap ne banaya hai bete ko, to yeh is ka ek amal qarar payega. yeh baap ka ek amal qarar payega ke is ne aap bete ko saaleh banaya. is amal ka is ko ajr milega. ya yeh unhon ne naqal kiya hai na? yeh in ko mein kahunga ke phir se is ke text ko parhen. text ko. hmm, un ka ek sawal aur hai.
1:44:30
maulana, unhon ne poocha hai: "why was slavery not abolished in islam? like alcohol consumption and eating pork was declared haram?" nahi, aisa nahi hai. alcohol bhi dekhiye, achanak khatam nahi kiya gaya tha. kai stages mein khatam kiya gaya tha. islam ka tareeqa yeh nahi hai ke radically aap achanak elaan kar den ke sab khatam hai. gradual tareeqay se khatam kiya jata hai. to slavery bhi khatam ki gayi gradual tareeqay se ke woh slavery jo hai, aaj aap samajh nahi paate ke slavery kya cheez hai. slavery us zamane ki employment thi.
1:45:10
log samajhte nahi slavery kya cheez hai. us zamane mein jab ke aaj kal ki tarah se industry nahi thi, aaj ki tarah se yeh jo itne saare tareeqay hain kamane ke, woh sab nahi thay. to us zamane mein slavery ek ek employment tha. to achanak abolish kar diya jaye to bohat saare log be rozgar ho jayenge. is tarah woh kahan khappen ge? woh log achaanak bohat se log be rozgar ho jayen ge.
1:45:38
is liye islam ne is ko gradual tareeqe se khatam kiya. ek arab ne bohat acha likha hai. ek un ka mein ne parha, un ki ek kitaab hai, woh mushkilat ul quran, is ka naam hai ke islam ne slavery ke mamle mein ek form jo usool ikhtiyar kiya, woh yeh tha ke tazeeque al madkhal aur tawsee al makhraj, yani gradual tor par yeh karna ke naye slave na banen aur pichle slave jo hain, woh khatam hote chale, khatam hote chale jayen. mukhtalif cheezon mein, maslan kaffara ada karna, mukhtalif cheezon ko aazad karne ka sawab jo bataya gaya waghera. to islam ne yeh tareeqa ikhtiyar kiya ke achaanak khatam na kar ke gradual tor par khatam karna. aur woh tareeqa yeh tha ke nayi slavery to band ki gayi, kar di gayi isi waqt
1:46:37
, lekin jo already jo slave thay, un ke liye mukhtalif tareeqon se yeh kiya gaya ke dheere dheere, dheere dheere woh aazad ho kar society mein absorb hote chale jayen. isi ko unhon ne kaha hai ke tazeeque al makhraj, tawsee al madkhal. yeh bohat sab bohat hi sahi hai. mein samajhta hoon ke is ko to islam mein yeh ho ke naye slave na banaye jayen aur pichle jo slave hain, jo goya ke un ka rozgar wahi tha kahin, to un ko dheere dheere, dheere dheere khatam kiya jaye aur un ko society mein absorb kar diya jaye. aaj koi slave banaye to bilkul haram hoga. woh slave bana ab islam mein jaiz nahi hai. jo thay mazi ke, bas woh thay slave. aaj aap slave banaye to jaiz nahi hai.
1:47:26
maulana, yeh sawal kiya hai miss sadia ne new delhi se: "christians and jews, you said according to the law of nature, degenerated. would you say that even today, both jews and christians have failed to regenerate their people?" haan, un ka woh masle paida nahi hue. hum logon ki jo mission hai, aisa mission kahin nahi hai. yaad rakhiye, nahi, nahi, yahudiyon mein nahi, isaiyon mein. un ke haan woh social social kaam hota hai. sab ke haan, sab ka social kaam hota hai. baqi yeh jo kaam hamare haan ho raha hai, re engineering of mind, yeh is original mazhab ko phir se revive karna, yeh to kahin bhi nahi ho raha.
1:48:16
yeh to Allah taala ne yeh mission jo khara kiya hai, bohat unique hai. na aisa muslim mission musalmanon mein kahin hai, na yahudiyon mein hai, na isaiyon mein hai. aap log shukar karna chahiye ke aap log is se jure aur aap logon ke zamane mein yeh mission khara hua. warna yeh to is ke, is ke yani sare muslim dunya mein jo hai, kuch tha hi nahi. siwa andhere, andhere, andhere ke christian aur yahudiyon ki bhi kuch bhi nahi thi. political tareeqe un ke haan hain aur social kaam hain aur doosre doosre kaam hain.
1:48:55
yeh yeh jo revival hai, yeh to yeh to aaj kahin bhi nahi, kahin bhi nahi hai. maulana, yeh sawal kiya hai mr muhammad tauqeer alam ne muzaffarpur se. unhon ne poocha hai: "what is the meaning of masjid?" is ke baray mein batayein.
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.