1:49:04maulana, yeh sawal kiya hai mr muhammad tauqeer alam ne muzaffarpur se. unhon ne poocha hai: "what is the meaning of masjid?" is ke baray mein batayein. dekhein, masjid ke literal meaning to hai sajda karne ki jagah ya ibadat karne ki jagah. jahan namaz parhi jaye, woh masjid hai aur namaz to sari zameen par parhi ja sakti hai. ek lehaz se sari masjid, sari zameen masjid hai aur jo masjid banayi jati hai, us ke baray mein hadith mein aata hai ke: "al masajid buyoot ul muttaqeen" . masjidain muttaqeen ka ghar hain, yani Allah se darne walon ka ghar hai. "al masajid buyoot ul muttaqeen" aaj kal kya hai?
1:49:58aaj kal yeh hoga: "al masajid buyoot siyaseen". aaj kal yeh ho gaya har jagah, india mein bhi aur arab dunya mein bhi, pakistan mein har jagah. "al masajid buyoot siyaseen" yani siyasat pasand log, siyasi leader logon ka markaz ban gaya aur takhliyan karenge jazbat ke andaaz ke logon ko bharkayenge. yeh to is is ka misuse hai, yani mazhab ko yeh masjid ka misuse hai. "al masajid buyoot ul muttaqeen" yani masjid ke andar kya hai? aakhirat ki baat ho, jannat jahannum ki baat ho, accountability ki baat ho aur insaniyat ki baat ho, dawat ki baat ho.
1:50:41baqi yeh jo siyasat ki baatein hoti hain masjidon mein, yeh to masjid ka misuse hai. maulana, yeh sawal miss mehrin ne kiya hai dilli se. unhon ne likha hai: "islam chaar paanch firqon mein kaise bat gaya jabke prophet of islam ki wafat ke baad sahaba prophet ke bataye hue raaste par chalte aaye?