Maulana Wahiduddin Khan

Quranic approach to communal violence

“In India, regarding communal violence, what is the application of the Quran? Is it only to suffer beatings and make non-violent claims?”Asked by Mahmood Asim, Delhi

He answers at 1:14:19 in Study of The Quran · 5 min 32 sec

His answer, in his own words
1:14:19
maulana, agla sawal dilli se kya hai mahmood asim sahib ne, aur unhone likha hai: hindustan mein jo communal violence ka issue hai, us se niptne ke liye quran ka application kya hai? sirf maar khana aur non-violently dawah karna? is ke bare mein? ji, kaun sahib hain yeh jo sawal kar rahe hain? humm, kaun sahib sawal kar rahe hain? shayad pehli baar aaye hain yahan par woh. ji. beharhal, is par maine kitabein likhi hain, aap padh lijie. aur muslim jo communal rights hain, us ko bohat deeply mein ne un ki study ki hai. sare communal rights jo hote hain, un ki beginning jo hoti hai, musalman bhadakne wali qaum ban gaye hain, bhadakte hain, bas fasad shuru ho jata hai. jahan jahan bhi hua, aghaz dekhiye aap.
1:15:14
aghaz kahan se? mislan mauo mein hamara jo zila hai, adam padh, wahan mauo ek town hai. to wahan par fasad hua. bohat zabardast fasad hua. to maine direct mauo mein is ki tehqeeq ki. jo chupa tha muslim akhbaron mein, kya tha? ke hinduo ne yeh itna mara, hinduo ne itna mara. yani hinduo ke hinduo ne jo jalaya, phoonka, us ka zikr to khoob khoob tha. asal baat ka zikr nahi. maine wahan par tehqeeq ki to khud musalmano ne bataya ke asal baat yeh thi ke wahan par ek mandir tha, us mandir mein bhajan ho raha tha, kirtan.
1:15:53
to musalmano ne ja ke mana kiya ke tum kirtan mat karo. haan, woh hamari masjid mein namaz ho rahi hai. to unhone kaha ke hum ne artificial se ijazat le li hai, hum nahi rokenge. to unhone is ko mic ko tod diya. to kya aap samajhte hain ke mic ko todenge, aap ko fasad nahi hoga? communal rights jo hai, yeh lafzi galat hai mere nazdeek. humein jitne bhi rights hue hain, un sab ke bare mein mein keh sakta hoon ke maine bohat se rights ki tehqeeq ki hai. ke musalman jazbati qaum hain, mushtael ho jate hain, bhadak uthte hain.
1:16:32
to woh ja kar wahan, yani kuch na kuch kar baithte hain. abhi dekhiye, bhagalpur ki report abhi aayi hai. bhagalpur ki direct maine tehqeeq kar ke batata hoon aap ko, jo bhagalpur rights hua tha. ek sahib jo is par moti si kitab likhi thi, unhone. bhagalpur ka fasad. bohat hi mashhoor tha fasad bhagalpur ka. bhagalpur ka fasad. to mujhe la ke kitab diya unhone. is kitab mein maine dekha ke hinduo ne jo wahan par kiya tha, us ka bohat tasweer tazkira tha.
1:17:10
musalmano ka kuch bhi nahi tha. sirf ek jagah ek lafz tha ke hinduon ne jlas juloos nikala, is ke baad muslim naujawanon ne ek step liya. is waqt fasaad shuru ho gaya. to main ne kaha ke yeh step, yeh step kya tha? aap ne mubham kyun kar diya? hinduon ki baat to aap ne saaf saaf likhi hai, unhon ne falan dukaan jalai, falan ghar mein aisa kiya. yahan aap keh rahe hain ke musalman, muslim naujawanon ne step liya.
1:17:36
What is step? to batate nahin the. bahut zyada main un ki scrutiny ki to bata raha hoon ke step ke dasti bomb un ke paas tha, mara unhon ne. jab unhon ne is khud, unhon ne bataya, unhon ne ke hinduon ka juloos jo tha, us ko rokte the woh ke route badlo, route badlo, route badlo. to woh badalte nahin the. to muslim jo naujawanon ne dasti bomb phenka. aur sab dhuan bhar gaya wahan par sarak par. to kya is ke baad fasaad nahin hoga?
1:18:12
fasaad nahin hoga is ke baad? arabi mein kaha tha ke albadi azlam jo shuru kare wohi zalim hai. wa hum badaukum awwal marra quran mein hai. to badi har jagah quran musalman hote hain. kisi ko koi agar ikhtilaf ho to mujhe woh jagah bataen ke kahan par musalman badi nahin the. yani bigidar. badi matlab bigidar. to aap bigidar karain to is ko, is ko then you are pricing the price and you are estimating the policy
1:18:46
. communal riot ka lafz hi galat hai mere nazdeek. kyunke hota yeh hai ke musalman mushtael qaum ban gaye hain, jazbati qaum ban gaye hain. choti si baat pe bhark uthte hain. badh kar ke kahin pathar maren ge, kahin kuch karen ge. to woh retaliate kare ga. Retaliation hota hai jis ke nateejay mein fasaad hota hai. agar jis ko shak ho is par to mujhe us jagah ka naam batao ke falan jagah aisa nahin hua. to main ja ke tehqeeq karoon ga. main ja kar wahan se tehqeeq karoon ga is ki. koi ek spot mujhe bataya jaye ke falan jagah jo hai, is mein musalmanon ne koi beginning nahin ki thi, phir bhi fasaad ho gaya.
1:19:25
woh mujhe bataiye is ko. to main jaon ga wahan par. har jagah musalman begin karte hain aur is ke baad woh retaliate karte hain, is se fasaad hota hai. is par main ne baqayda kitaab likhi hai, aap is ko parh lijiyey. moti si kitaab hai, is par main ne bohat si is mein baaten likhi hain. maulana, agla sawal lene se. hindustan, india mein jo communal riots hain, us ko khatam karne ka ek hi raaz hai. ke musalmanon ko samjhaen ke bharkayen nahin woh.
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.