What Is Quran's Eternity If Jews Are Not Enemies
“If the Quran is an eternal book and, according to you, the Jewish disbelievers are not our enemies, then what is the eternity of the Quran?”Asked by Muhammad Khizar, Delhi
He answers at 1:23:15 in Study of The Quran · 2 min 39 sec
1:23:15maulana, agla sawal dilli se kya hai muhammad khizr sahab ne. unhone likha hai: "quran agar ek abadi kitab hai aur aap ke mutabiq kuffar yahood hamare dushman nahi hain to phir quran ki abadit kya hai?" is ke bare mein. ye kaise kaise sawal karte hain log bhai. abadit yahi quran ki? in ko kafir samajhna hai? isi ke liye quran utra tha? hain? dekhiye, makkah ke jo log the un ke bare mein quran mein kufr ka lafz aya.
1:23:54Qul ya ayyuhal kafirun quran mein jo ye ayat hai Qul ya ayyuhal kafirun ye makkah ke bare mein hai. quraish ke bare mein. achha, wahi jo muslim ban gaye sab ke sab. wahi makkah ke log jo hain is ke top ke log sahabi bane. to kya quran ki abadit khatam ho gayi? bas yahood se nafrat aap ko hai, bas yahood se marna hai aap ko ye. to ab sahaba ko mariye naozubillah. kyun ke jin ko quran mein kaha gaya tha kafir, wahi to musalman ho gaye, wahi to sahabi bane.
1:24:32wahi to ahl-e-makkah ke log jo is islam mein dakhil hue the, wahi to sahaba kehelate hain. to quran mein kaha gaya tha in ko kafirun. Qul ya ayyuhal kafirun aur phir isi doosri surah hai ke ya rajjaa nasulil lahe wal fath wa raa tan naaso yad khuluna fi deenil la illahi foujan unhi ke bare mein hai ke jin ko quran ne kafar kaha tha woh fouj dar fouj islam mein dakhil hue. yeh koi tareeqa nahi hai is quran ko samajhne ka. ke aap bas yahood se nafrat hai to yahood se marna hai aap ko. nafrat ki nafsiyat, shaitan ki nafsiyat yaad rakhiye. shaitan, shaitan allah ke is ke bhi nahi samajh saka.
1:25:15shaitan jo hai mubtala hoga nafrat ki nafsiyat mein to allah ke is ke bhi nahi samajh saka . musalman bhi agar nafsiyat, nafrat ki nafsiyat se bahar nahi ayenge to quran ko nahi samajh sakte woh. quran ko samajhne ke liye shart hai ke aap hate, hate psychology se bahar ayen. hate itni buri cheez hai ke shaitan ke dil mein hate aa gaya to allah ke is ke koi nahi samjha woh. is ka mukhalif ho gaya. to musalmanon mein hate ki nafsiyat aa gayi hai. to quran kya samjhenge woh? quran nahi samajh sakte woh.
1:25:55maulana, agla sawal chennai se hai maulana iqbal umri ka. aur unhon ne likha hai: "aaj kal bohat se dawah centers hain aur mostly un ke naam peace related rehte hain.