Knowing Whether We Are Getting Close to Allah
“Please guide us as to how we can know whether we are getting close to Allah or not.”Asked by Mahtab Ahmad, Dhampur
He answers at 1:00:59 in Realization of God · 2 min 46 sec
1:00:59Maulana, agla sawal Mehtab Ahmad sahib ne kiya hai, Dhampur se. Unhon ne likha hai: "Maulana, please guide us as to how we can know whether we are getting close to Allah or not?" dekhiye, yeh sawal karne ki baat nahin hai. kisi ko bhi yeh pata nahin hota ke woh allah is ke qareeb ho raha hai ya door ho raha hai. agar aisa ho jaye to phir phir marifat ki had aa jayegi, aur paighambar ko yeh pata nahin hota hai. aap yeh samjhen ke paighambar ko pata hota hai ke woh kitna safar tay hua hai, kitna safar baqi hai. yeh bilkul hi yeh soch galat hai,
1:01:47yeh soch galat hai. Dekhiye, Allah ka jo nizam hai, jo takhleeqi naqsha Allah taala ka hai, uske mutabiq Allah ko matloob hai ke musalsal taur par aadmi uncertainty mein jeeye, musalsal taur par uncertainty mein. Tabhi to intellectual process chalta rehta hai. Jitni yeh khatam ho jaye to intellectual process ruk jayega. uncertainty yeh paighambar ke isi mein rehta hai. Main aap ko misaal deta hoon, aap ko shakk na ho. Hadees baqayda maujood hai ke wallah la adri.
1:02:27Log to samajhte hain ke Rasool Allah jo hai, takht par Allah miyan ke dayen ya bayen baithe hue hain. Yeh sab bilkul, yaani bilkul be-asar baatein hain, be-haqeeqat. Rasool Allah ki jo tasweer hai, woh is hadees mein dekhiye: wallah la adri, wallah la adri, wallah la adri, wa ana Rasool Allah ma yufal bi wala bikum. Khuda ki qasam, main nahi jaanta, Khuda ki qasam, main nahi jaanta, Khuda ki qasam, main nahi jaanta. Agarchay main Allah ka Rasool hoon, kya kiya jayega tumhare sath aur kya kiya jayega mere sath? La adri ma yufal bi wala bikum. Yeh ayat Quran majeed ki hai: La adri ma yufal bi wala bikum.
1:03:12To Quran mein bhi, hadees mein bhi hai. To yaad rakhiye, Allah ka jo takhleeqi naqsha hai, woh is par base karta hai ke insaan musalsal taur par uncertainty mein rahe. Kyun? Isi waqt insaan ka jo intellectual development jo hai, spiritual development jo hai, uska process jaari rehta hai. Woh pass ruk jayega, jahan ruk jayega to wahan stagnation aa jayega. Jahan process ruka, stagnation aaya. Maulana, agla sawal lene se pehle ek comment padhna chahenge jo Roorkee se aaya hai, Sajid Anwar sahab ka. Unhone likha hai: "Maulana, today lecture was a thrilling one for me.