1:02:31maulana, agla sawal tamil nadu se hai, maulana iqbal umri sahib ka. unhon ne likha hai: "mazhab aur siyasat mein farq karne ko deen ka naqis tasawwur samjha jata hai, aisa kyun?" yeh to bilkul mein samajhta hoon ke yani batal tasawwur hai jis ka Islam mein koi bhi reference maujood nahi. bila shubah deen alag hai aur siyasat alag hai, is mein koi shuk nahi. dekhein, Islam ke mutabiq deen ki taleemat jo hain, woh hoti hain according to the situation. ittaqullah wa ma astata'tum
1:03:25to jahan tak apni zaat ka ta'alluq hai, har waqt hamare bas mein hai ke apni zaat ke aitbar se hum deen ko ikhtiyar karein. yani is mein hamein koi excuse nahi ho sakta zaat ke aitbar se. lekin jab aata hai muamla society ka, mujtamay ka, to wahan doosre logon ki rai ke mutabiq karna pare ga. yeh nahi hai ke aap impose kar dein un ke upar. inaam ki baat hai, impose karein ge to impose nahi hoga. to hukoomat ka ki nawiyat hi alag hai, hukoomat bilkul nawiyat alag hai.
1:04:06hukoomat ka muamla yeh hai ke jaise halaat, waisi hukoomat. hadith mein aata hai ke kama takoonoon kazalik yool alaikum jaise tum ho gaye, waise hukmaran ho gaye. yani hukoomat ubharti hai mujtamay se, yani social condition se. lekin infradi jo deen hai, woh to har waqt aage aate rehte hain. to jo log dono taqaze ek kar ke kehte hain ke Islam mukammal nizam hai, woh bila shubah batal boli bolte hain. aur islam mein tashaddud jo aa gaya hai, isi liye aa gaya hai. tashaddud jo aa gaya hai islam mein, barah-e-rast zimmedar hain woh log kis ke jinho ne yeh naarah diya ke islam mukammal nizaam hai.
1:04:46is ko mein bilashubah batil samajhta hoon. to meri bohat si kitabein hain, aap parh lijiye: taabeer-e-ghalti, deen aur shariyat, al-islam waghera. Maulana, un ka ek aur sawal hai. unho ne likha hai ke "You have written that in Islam politics is a matter of convenience and not a matter of belief. Kindly clarify this." wahi baat jo mein ne kaha,
1:05:19convenience ka matlab yeh hai jaise halaat is ke mutabiq hon. aur ek cheez woh hai deen mein jis ka ta'alluq halaat se nahi, mere apne irade se hai. jaise hi mein irada karoon, fi- الفور mein is ko ikhtiyar kar sakta hoon. Allah ko ek manna, akhirat ko yaqeen karna, jannat jahannum ko manna, Allah ke creation plan ko manna, jis waqt mujh par khule, usi waqt is ko mein yaqeen kar sakta hoon ke yeh barhaq hai. lekin jab, yaani jo system hai, jo social taqaze hain, wahan par aap koi cheez nafiz karna chahein to jab nafiz ho paye gi? jab ke log manen is ko, warna warna kuch bhi nahi hoga.
1:06:11to yaani woh halaat par depend karta hai, jab ke aqeedah ka ta'alluq khulas se nahi, woh aap mere apne irade se hai. yeh matlab hai is ka. Maulana, agla sawal Karachi, Pakistan se hai, Abdul Latif sahib ka.