1:31:59maulana, agla sawal aah kolkata se hai, mister rakesh ka. unhon ne likha hai "Moulana sahib, why is it that sincerity cannot be seen these days?" dekhen, consumerism jo aaya hai, is ne sab ko selfish bana diya hai. consumerism se sab log ek taraf selfish ho gaye hain. paisa, paisa, paisa. hamare bachpan mein koi item nahin hota jis ko khareede aadmi.
1:32:37hata ke ek glass bhi nahin tha. to paise ki koi zaroorat hi nahin thi. mujhe yaad hai ke mere bachpan mein ek aadmi ek bail gaari par sarson laad kar le aaya. sarson. aur koi khareedar is ka nahin tha. to ek aadmi ko woh das rupay mein sab de ke chala gaya. aaj ke lehaz se woh das hazar se bhi zyada tha woh. to us zamane mein koi yaani aadmi paisa kare to kya kare? aaj hazaron item hain. aaj hazaron ka million item hai. to woh woh temperature yaani consumerism ne jo temperature paida kiya, us ne sab ko money oriented bana diya.
1:33:19sab ko selfish bana diya. ab mere jaisa koi aadmi ke meri koi zaroorat hi nahin. main apne aap ko yaani is had par rakhe hue hoon ke jahan bare necessities mere liye kafi hain. to jo aadmi yahan tak aa jaye, wohi bach sakta hai is se warna bachega nahin. bare necessities ke sath meri koi zaroorat nahin hai. to jo aadmi is is had tak aa jaye, us wohi sincere hoga. warna woh to ban jayega dishonest, selfish. kyun ke is ko paisa chahiye. paisa chahiye. paisa chahiye. is ko marketing, is ko woh karna hai. shopping karna hai. is ko bachchon ko yeh karna hai, woh karna hai.
1:34:03to yeh is daur mein jo yaani jo jis ko hum kaha jata hai consumerism, is daur ka taqaza hai ke log selfish ban gaye hain. aur money oriented un ki soch ho gayi hai. aur bas more aur more ka un ko ek jis ko kehte hain hindi mein kehte hain hoard lagi hui hai. maulana, yeh ek comment aaya hai doha, qatar se maulana abdul basit umri ka. unhon ne likha hai: "maulana, aaj ki taqreer mein jo baat aap ne kahi, hukumaton se takkaraye baghair deen ka kaam kar sakte hain, aur is is ka namuna muhaddiseen ke daur se hamein milta hai. yeh baat main ne aaj pehli dafa jani hai."