What Did Islam Give to the World?
“A secular person said that Darwin and Marx gave a great deal to the world. What did Islam give to the world? Please explain.”Asked by Iqbal Umri, Tamil Nadu
He answers at 1:31:04 in Importance of Peace · 2 min 5 sec
1:31:04Maulana, agla sawal Tamil Nadu se hai Maulana Iqbal Umri ka. unhon ne aap se poocha hai: "Maulana, unhon ne yeh likha hai ke aik secular aadmi se mulaqat hui, unhon ne kaha ke Darwin ne aur Marx ne dunya ko bohat kuch diya. Islam ne dunya ko kya diya?" us ke baray mein aap batayein. yeh toh daawa un ka hai. Marx ne kuch nahi diya . Marx ke nazariye ko lay kar jo Russia mein inqilab aaya tha, toh wahan par 25 million insaan maar daalay gaye. ab mila kya? economy tabah ho gayi Russia ki. diya kya? yeh kahan kahan diya? 25 million insaan ko maar dala sirf is liye ke woh woh socialism economy qaim karnay ke liye,
1:31:54yani kisanon se zameen chheen nay ke liye. lekin mila kya? mein khud gaya tha wahan us zamanay mein, roti nahi milti thi. woh yani kisanon se zameen chheen kar us ko state ki milkiyat de diya. toh is se pehlay Russia gandum ko, yani gaon ko export karta tha. ab wahan gaon kehti hai kam hai, woh ki roti nahi milti. lambe lambe line sarkon par lagi hui thi. toh diya kya? tabah kiya sirf. baqi jahan tak Darwin ka ta'alluq hai, toh yeh bhi ghalat baat hai.
1:32:30Darwin ne kuch nahi diya. aik aik workable theory thi, elevation theory. workable, woh koi scientific theory nahi thi. khud Darwin mara frustration mein. aap ko agar shauq ho toh Darwin ki life parh lijiye. us ko khud apnay baray mein woh tha ke mein ne sahi nahi kiya hai. khud parh lijiye aap us ka, yani aakhri dinon mein jo us ka haal tha Darwin ka. diya kya us ne? aur Islam ne kya diya? us ko bari kitab parh lijiye. aap
1:32:58Islam the creator of modern age, us ko parh lijiye. aap Islam ne kya diya? creator of modern age mein tafseel parh sakte hain us ki. aap yeh toh aik aik daawa ki zuban hai. koi is misaal toh di hi nahi unhon ne. ji hmm. Maulana, agla sawal Roorkee se hai Sajid Anwar Sahab ka.