1:34:39Maulana, agla sawal Delhi se hai Dr. Fareeda Khanam ka . unhon ne likha hai: "What is the hallmark of a positive personality?" please comment. kya matlab? matlab Maulana, positive personality ka kya symbol hai ya trademark hai ya sign hai? main to yeh samajhta hoon ke hate free hona, hate na ho, reaction na ho, aur doosron ke bajaye apne aap apne bare mein soche, introspection kare, woh na ke doosron ko complaint aur protest karta rahe.
1:35:18woh to ek lafz mein yahi hai ke hate free hona. yani aadmi jab baat karta hai to foran pakar mein aata hai ke is ke andar hate hai ke nahi hai. is ki is ki is ka lehja bata deta hai ke woh hate se bhara hua hai. kisi ka hate hai Israel ke khilaf, kisi ki RSS ke khilaf, kisi ka America ke khilaf. woh kahin nahi ke pakar pakar mein aa jata hai. to sab se bari peshani hai ke woh pure pure tareeqe se hate free ho, nafrat se khali ho.
1:35:53nafrat wista ke shaitani sifat hai. Shaitan ko nafrat hai insan se. isi ko chahta hai ke har har insan ke andar aa jaye. to Shaitan ki sab se bari sifat jo hai, nafrat. to yeh is se humein bohat zyada door rehna hai. sari kharabi ki jar hai hate. Maulana, agla ek comment parhna chahenge jo abhi abhi Doha Qatar se aaya hai Maulana Abdul Basit Umri ka. unhon ne likha hai: "Maulana, aaj pehli bar concept of peace ko shaoori taur par samjha aur yeh bhi samajh mein aaya ke Musalman age of peace mein rehte hue peace ki tehreek chala rahe hain jabke workable peace har jagah hai.
1:36:45yeh to hamara andha pan aur creation plan of God se bekhabri ki baat hui."