Maulana Wahiduddin Khan

Factors inhibiting creative thinking development

“What are the factors that inhibit the development of creative thinking in us? Please guide.”Asked by ساجد انور, روڑکی

He answers at 1:07:31 in Creative Solution or Ijtihadi Hal · 12 min 35 sec

His answer, in his own words
1:07:31
maulana, agla sawal roorkee se hai sajid anwar sahib ka. unhon ne likha hai: "maulana, what are the factors which inhibit the development of creative thinking in us؟ please guide us ." mein dekhiye, mera jo experience hai, woh to yeh hai ke creative thinking naam hai natural thinking ka. yani aap agar apne ko distraction se bachayen to apne aap nature unfold hoti hai. apne aap jab nature unfold hoti hai to woh aap ke andar creative thinking aati hai.
1:08:12
is ke baad creative thinking koi alag se import karne ki cheez nahi hai. creative thinking ko aap koi import nahi karta, woh already aap ke andar maujood hai nature ke andar. lekin log kya karte hain? conditioning mein pad jate hain, un ke andar bias aa jata hai, nafrat aa jati hai. ab normal tareeqe se sochne lagte hain: ghussa, nafrat, inteqam, tashaddud mein phans jate hain. is ki wajah se nature unfold nahi ho pati. to sirf aik hi shart hai ke aap apne aap ko aisi cheezon se bachayen jo nature ko unfold hone se rokti hain.
1:08:56
bas is ke baad creative thinking apne aap develop kare gi. maulana, yeh sawal dilli se aya hai mr hamad ahmad sahib ka. unhon ne aap se poocha hai ke "what is the creative solution of indian riots?" indian riots, acha, "how it can be prevented and what should be the role of indian muslims during the riots?" dekhiye, is ka jawab bohat hi acha diya hai aik sahabi ne. indian riots jo hain, woh woh right nahi hote. muslims are paying the price of their own stupid policies. is ko right kehna hi galat hai. woh stupid policy ki qeemat hoti hai, us ko hum kehte hain right. is ko mein explain karta hoon.
1:09:51
dekhiye, aik sahabi kehte hain ke "malayardha bil qaleel mimma yati bihi safi hayardha bil kaseer". yeh sahabi ka qaul hai. is ka translation yeh hai ke jo aadmi nadan ke chote shar ko bardasht nahi kare ga, to us ko nadan ke bare shar ko bardasht karna pare ga.
1:10:27
is ka matlab kya hai? zindagi mein chote shar to ate hi ate hain. aap chahen ke chote shar bhi na hon, yeh impossible hai. matlab koi nara laga laga de ga, koi jaloos nikale ga, koi koi holi ka pani phenk de ga aap ki masjid par. yeh chota shar hai, is ko bardasht kijiye. ladte kyun hain is ke liye? aap hazrat umar ne yeh baat is tareeqe se kahi ke "laysal aaqil alladhi ya'riful khair wal sharr, walakinahu alladhi ya'rifu khaira sharrin" ke aqalmand woh nahi hai jo jo khair aur shar ko jaane. aqalmand woh hai jo yeh jaane ke do shar mein se kamtar shar konsa hai. matlab kya hai?
1:11:20
zindagi mein choice jo hai, woh good and bad ka nahi hai, lesser evil aur greater evil ka hai. ab aap dekhiye, kamra right ko kya hota hai? 99 feesad cases mein kya hota hai ke musalman mutalba karte hain ke route badlo, route badlo. achha, woh route nahi badalne pe tayyar hote ya kehte hain ke sahib, lord square par bhajan band karo. woh band karne pe tayyar nahi hote.
1:11:54
to kya karte hain? is ke baad ja ke rokte aur tokte hain. wahan par aap jaise hi aap roka toke ga, jaise hi aap un ko, yani violence karein, koi kisi qism ka ke aap ko pathar maar dein ya aap un ka un ka lord square tod dein, to foran kya hota hai? woh police case ban jata hai. jab juloos nikalta hai, zyada tar juloos hi mein jhagde hote hain. jab juloos nikalta hai to us waqt kya case hota hai? ke masla hota hai, yani juloos versus police.
1:12:33
wahan police hoti hai juloos ko control karne ke liye. musalman kya karte hain? ke route badlo. idhar hamari masjid hai, idhar hamara mohalla hai. to woh raazi nahi hote. to police se kehte hain ke in ko badalwao, idhar le jaao in ko. police kehti hai ke hum nahi badal sakte, hamare bas mein nahi hai. to police ko pathar maarte hain. pathar maarte hi kya hota hai? ke jo case pehle tha, juloos versus police, ab ho jata hai Muslim versus police. ab khwamkhwah apne ko aap wale mujhe bar ki situation ban jati hai. wahan par abhi recently jo fasad hua tha UK mein, woh kya hua tha?
1:13:19
roze ke zamane mein log ab masjid mein jama hue the iftar karne ke liye. qareeb ke mandir se awaz aane lagi bhajan ki. ab wahan kuch log gaye ja ke sahib, apne loudspeaker ko awaz kam karo, us ko band karo. to unhone yeh band kiya. to kya unhone kiya ke us ko tod phod kar karne lage? to bas fasad ho gaya. aur wahan curfew laga, bohat se log maare gaye. jitne woh commercial right hote hain, woh commercial right nahi hain. woh haqeeqatan musalmanon ki stepped policy ke result hain. woh aap aap kyun juloos ko rokte hain?
1:13:56
kyun ke un ke loudspeaker ko band karna chahte hain. un ke slogan, slogan ko nahi band kar sakte aap. woh slogan lagayein ge kyun ke India mein azadi aap ke liye, un ke liye bhi dono ki azadi hai. to sirf ek hi shakal hai ke musalman principle of avoidance ko pakrein, araz karna. araz juloos nikalta hai to kar le dein, naara lagata hai to laga le dein. main aap ko ek dilchasp qissa sunata hoon. ek martaba bohat bara fasad hua tha Bhagalpur mein, Bihar mein. to bohat fasad hua aur musalmanon ko bohat nuksan hua tha is mein. to ek sahib ne ek kitab likhi thi, moti si, isi mauzu par "Bhagalpur ka fasad".
1:14:48
yeh kitab mere paas abhi maujood hai, koi shakhs dekh sakta hai is ko. woh khud musannif mere paas woh kitab le aaye. to maine us ko thoda sa parha to phir likha hua tha ke juloos nikla musalmanon ke mohalle mein. to pehle to aman tha, woh phir musalmanon ne ek step liya. yahi lafz tha is mein. step liya, is ke baad fasad shuru ho gaya. to mein ne poocha un se ke bhai step kiya tha? woh to bata nahi rahe the ke step kiya tha.
1:15:28
to baat ko bhagal pur ke case ki jo vakalat kar rahe the, woh pairvi kar rahe the, vakeel sahib, un se meri mulaqat hui. to un se poocha ke woh step kiya tha? to unhon ne unhon ne bataya, khud vakeel sahib ne bataya, jo jo case ki pairvi kar rahe the, ke hua yeh ke jaloos nikla aur musalmanon ne kaha ke sahib, root badlo, root badlo, root badlo. root badalne par raazi nahi hue. to musalmanon ne hand grade, hand hand gradenate phenka, dasti bomb. aur khud vakeel sahib ke alfaaz hain ke saare, yaani woh dhuwan phail gaya saare road par.
1:16:10
to is ke baad un logon ne retaliate kiya aur phir bara fasaad hua, bara hangama hua, bohat jalaye phoonke gaye log. to bhai, step step liya keh kar ke chhupaye hue hain is baat ko ke musalmanon ne ek nadani ki ke wahan bomb maar diya. jab bomb maarne ka hai to wohi marenge, koi nahi marenge. bhai, to musannif se mein ne poocha, musannif se meri mulaqat hui ke mein ne kaha ke kyun aap itna ghussa ho gaye? aap log to unhon ne kaha kaise ghussa hote hain? hum
1:16:46
to unhon ne bataya ke woh is is bohat is ka muhalle ka naam tha tatar pur. unhon ne kaha ke woh log naara laga rahe the ke "jai maa kali tatar pur karo khali". yeh musannif ne bataya "jai maa kali tatar pur kharo khali". to unhon ne kaha kaise hum is ko bardasht kar sakte the? to mein ne kaha acha yeh bataiye ke aap ne bardasht nahi kiya, roka, fasaad hua, karfu laga, log maare gaye, dukanein jalai phoonki gaein. to ab wahan par musalman hain ke nahi hain? kaha alhamdulillah, ab musalman wahan par abhi bhi hain.
1:17:31
to mein ne phir un se kaha jab jaloos nikal kar ke fasaad kar ke bhi woh tatar pur ko khali nahi kar sake musalmanon se, to aap ko react karne ki zaroorat kya thi? aap kehte hain ke yeh bewakoofi ke idare hain, is tarah kahin tatar pur khali ho jata hai. aap mein ne kaha ke aap ghor kijiye ke unhon ne jaloos nikala aur wahan par fasaad hua, goliyan chali, dukanein jalai gayin, phir bhi musalman maujood hain wahan par. to jab fasaad jaloos nikalwa kar fasaad karwa kar ke bhi woh tatar pur ko khali nahi kara sake, to aap ab bhadak bhadke kyun? aap ne react kyun kiya? aap ko kehna chahiye tha ke bhai yeh bewakoofi ke idare hain, aise ke tatar pur khali hota hai. yahi nadani hai jis ki wajah se communal right ho rahe hain India mein.
1:18:22
aap ko mein arz karunga, meri ek kitab padh li jiye. aap ek kitab hai "hal yahan hai". sirf ek kitab aap padh li jiye "hal yahan", aap ko yeh baat wazeh ho jayegi. "hal yahan hai" yahan mil sakti hai aap ko. hum neeche jab aap jayen to us ko aap dekh sakte hain. "hal yahan hai" Maulana yeh sawal Dilli se aaya hai Dr. Saleha Siddiqui ka. unhon ne likha hai jab sailab e nooh aaya to Hazrat Nooh ka beta Kanan, jo mushrikon ka saathi tha, Allah ne is sailab mein us ko dubo diya.
1:18:59
tab Nooh ne Allah ko pukara aur kaha "my lord, my son was a part of my family, your promise was surely true, you are the most just of all judges. God said Noah he was not one of your family, for indeed he was in rights in his conduct." Maulana, kya is ayat ka explanation yeh liya jaye ke Islam mein blood relation asal nahi hai? kyunki Khuda ne criteria rights hona bataya hai, na ke rishtedari. koi insan is liye nahi bachaya jayega ke woh paighambar ka rishtedar hai. abhi yeh to yahi matlab hi hai is ka. woh to khud jo alfaaz hain, woh bol rahe hain. koi doosra explanation is ka ho nahi sakta.
1:19:53
clear hai, yeh to is mein koi shakk nahin. ya mein phir mun akhi wa ummi wa abi wa saahibati wa bani quran mein aaya hai to sahi baat hai yeh. maulana, agla sawal dilli se hai doctor farida khanam ka.
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.