Remembering Death Despite Not in DNA
“You said once that death is not in our DNA. In such a case, how do we remember death and draw lessons from it?”Asked by نغمہ صدیقی, دلی
He answers at 1:20:12 in Concept of Death in Islam · 1 min 34 sec
1:20:12maulana, agla sawal ah miss naghma siddiqui ka hai, Delhi se. unhon ne likha hai you said once that death is not in our DNA. in such a case, how do we remember death and draw lessons from it? dekhein. DNA mein hoti ya na hoti, yeh to hum dekh rahe hain ke mar raha hai, mar raha hai, mar raha hai aadmi. to hamare DNA mein yeh likha hua na ho ke main MA karoon, tab bhi hum MA karenge. DNA mein yeh likha na ho ke main ghar banaoon, tab bhi main ghar banaoon ga.
1:20:50kyunke main dekhta hoon logon ko ke jo taleem leta hai, us ki zindagi achi rehti hai. jo ghar banata hai, woh har mausam mein achi tarike se guzar kar leta hai apna. to DNA mein hona ya na hona, yeh yeh ek koi is mamle mein relevant nahi mere khayal se. yeh relevant hai ke har din hum dekhte hain ke log marte hain. to is se apne aap yeh baat nikalti hai ke mujhe bhi marna hai. jab yeh nikal aayi to mujhe sochna bhi hai.
1:21:26logon ke marne se apne ke marne ko dekhna hai. apne marne ko soch kar ke phir mujhe apni zindagi ka sahi yani goal banana hai. yeh hai mere khayal se is ka jo formula. maulana, agla sawal roorkee se hai, sajid anwar sahab ka