Human rights in Islam explained
“What are human rights in Islam? What would be the answer to this question? What is the importance of proving this? Please explain.”Asked by شبیر احمد, کیرالہ
He answers at 45:58 in Hadith Prediction · 2 min
45:58maulana, yeh sawal kerala se aya hai, shabbir ahmed sahab ka. unhon ne likha hai: "maulana sahab, human rights islam mein kya hain? is sawal ka kya jawab hoga? is ko sabit karne ki ahmiyat kya hai? is ke bare mein batayen." main to hadith bata diya aap ko ke adu ilayhim haqqahum wa atoolu haqqakum yani tumhare upar jo right aate hain society ke, us ko poora karo. Apna Allah se mango, Allah se mangne wali mehnat karo, apni mehnat par bharosa karo.
46:38hard low, hard work, struggle, planning yeh karo. aap dekhen, rasool Allah sal Allah alaihi wasallam ne makkah mein kabhi apne huqooq maange? yani aap ke huqooq itna zyada wahan talab kiye gaye thay ke kaaba mein namaz padhenge, ijazat nahi dete. to kya aap ne mohim chalai ke yeh to hamara haq hai? aap ja rahe thay umrah karne ke liye, hudaybiya ke mauqe par roka, unhon ne nahi jaane diya, halanke haq tha aap ka. to kya aap ne mohim chalai ke hamare haq nahi dete yeh log? huqooq talbi Islam mein hai hi nahi. Islam mein, yani Islam aap ko right constant nahi banata, balke duty constant banata hai.
47:24Islam ka jo jo ideology hai, jo Islam ki taleemat hain, woh hai aadmi ko duty constant banana, right constant banana. Islam ka tasawwur nahi hai. rasool Allah ke aap bata diya mujhe ke makkah mein aap ke huqooq sab ke sab yani chheen liye gaye thay. kab aap ne huqooq talbi ki mohim chalai ke hamein yeh haq nahi de rahe ho, woh haq nahi de rahe ho? yeh to musalmanon ne ek bidat nikal rakhi hai, is ka Islam se koi ta'alluq nahi.
47:59maulana, agla sawal lene se pehle ek comment padhna chahenge jo ajmer se doctor safina tabassum ne bheja hai. unhon ne likha hai: "thanks maulana sahib for making us understand the khule ke azeem and helping us avoid the great loss that we would have suffered."