Introspection and changing mindset
“Is introspection the beginning of changing the mindset? Please explain how can one change one's mindset?”Asked by Naghma Siddiqi, Delhi
He answers at 49:13 in Hadith Prediction · 2 min 16 sec
49:13maulana, agla sawal delhi se hai, miss naghma siddiqui ka . unhon ne likha hai: "is introspection the beginning of changing the mindset? please explain how can one change ones mindset?" haan, yeh to sahi hai ke introspection jo hai, wohi beginning hai jis ko muhasba kaha jata hai. muhasba yeh Hazrat Umar ka qaul hai: hāsbū anfusakum qabla an tuḥāsabū wa waznū qabla an tūzanū aap na hisab kar lo, is se pehle ke tumhara hisab kiya jaye. apne ko tol lo, is se pehle ke tumhe tola jaye. yeh hai introspection. yeh to beginning hai aur bilkul natural beginning hai.
50:00yeh jab bhi aap ko ehsas ho jaye ke mujhe Allah ke raste par chalna hai, haq ka tareeqa jo hai, us ko follow karna hai, to beginning to yahin se hogi ke apne past ko sochenge. aap ke ab tak jo main karta raha, woh kaisa tha? phir aap sochenge ke main kahan kahan mujhe correction karna hai, kahan kahan apne ko ek nayi soch lana hai. baqi yeh kaise ho? to main to sochta hoon ke jo sincere hoga, woh karega. it required a lot of sincerity.
50:37aadmi sincere na ho to phir to woh us ko kuch kehna hi bekar hai. sab se pehli cheez yeh hai ke aadmi ko sincere banna padega apne bare mein. apne bare mein sincere banna padega aur ke main kyun paida hua mein kyon duniya mein jeeta hoon, kyon maut aati hai, maut ke baad kya hona hai. yeh saara jo muamla hai zindagi ka, is ke bare mein aap sincere agar honge to sochenge. samajhta hoon ke sincerity basic cheez hai. jab sincerity hogi aadmi ke andar to woh introspection karega.
51:19introspection karega to saari baatein us ki us ko khulti chali jayengi us ke upar. maulana, agla sawal aaya hai kerala se, shabbir ahmed sahab ka. unhon ne likha hai: "maulana sahab, ek sahab ne farmaya ke cps ka asal goal kya hai?