Maulana Wahiduddin Khan

What to do when God seals hearts

“In Chapter 2, verses 6-7, Allah says that He has set a seal on their hearts, so no matter how much good is said to them, it will not affect them. If Allah Himself has sealed their hearts, what should we do?”Asked by Naseer Hussain Qureshi, Delhi

He answers at 58:06 in Islam in Daily Life · 3 min 24 sec

His answer, in his own words
58:06
Maulana agla sawal Dilli se hai, Nasir Hussain Qureshi Sahab ka. Unhon ne likha hai: "Chapter number two, verse number 67 mein aaya hai mein Allah Quran mein Allah ne farmaya hai ke hum ne un ke dil par mohar laga di, unhein kitni hi khair ki baatein batao, un ke dil par asar nahi hoga. Sawal yeh hai ke jab Allah hi ne dil par mohar laga di toh kya karein?" Nahi nahi, dekhiye mohar lagane ka matlab "Khatamallahu 'ala qulubihim" . Yeh is ka matlab yeh nahi hai jo aap le rahe hain. Yeh wahi cheez hai jis ko aaj kal kaha jata hai conditioning. Yaani un ki conditioning kehti hai badh gayi hai ke ab un ki baat koi samajh mein nahi aayegi. Aur yeh aap samajhte hain ke yeh Yahudiyon ka hai. Aaj toh saare Musalman isi ke case banenge. Log samajhte hain ke Yahudiyon ke dil pe toh mohar lagi hui hai.
59:04
is waqt to musalmanon ki mohar pe lagi hui hai. koi baat kaho samajh mein nahi aati. matlab yahi baat jo maine kahi abhi ke jab Allah ne farmaya ke tum apni hi koshish se paoge, is duniya mein jo kuch paoge to kyon sachar committee? kyon? yeh to hai mohar lagna. yahi mohar lagna hai. jab Quran ka saaf saaf ayatein bata rahe hain aap ko to kyon aap sachar committee, sachar committee kar rahe hain? yeh kaho ke aap apni apne apne aap ko unfold karo, apni salahiyaton ko bedaar karo. koi bhi baat Quran o Hadees ko le kar kahi jaye, ab musalmanon ki samajh mein kuch nahi aata. yeh conditioning kehti hai pakki ho chuki hai. is ayat ka matlab hai conditioning aur woh case jo Yahudiyon ka tha, wahi aaj musalmanon ka hai.
59:51
kuch bhi kaho Quran o Hadees ko le kar. misalan dekhiye, main aap ko ek misal deta hoon. main pachas baras se ek baat kar raha hoon. aaj tak musalmanon ki taraf se yeh thode se log mile hain jo yahan baithe hue hain ke sare musalman zulm ki shikayat karte hain, sazish ki shikayat karte hain. One to all . yahan se le kar Arab tak. main bar bar logon ko yaad dilata hoon ke Quran mein hai ke do ayatein hain: "Wa ma asabakum min musibatin fa hiya ma kasabat aydikum" . jo musibat padti hai tumhare upar, woh tumhare apne hi kiye ka nateeja hoti hai.
1:00:32
jo musibat tum par padti hai, woh tumhare apne hi kiye ka nateeja hoti hai. doosri ayat hai: "Wa in tasbiru wa tattaqu la yadrikum khayrun shai'un" . agar tum sabr karo aur taqwa ikhtiyar karo to kisi ki sazish tum ko koi nuksan nahi pahunchayegi. yeh ayatein main pachas baras se musalmanon ko yaad dila raha hoon. thode logon ne is ko mana aur majority to nahi maan payi kyunke mohar lagi hui hai. matlab itna condition ho gaye hain ke ek aur soch mein ke is tarah is line par apni soch ko lagate nahi. log samajhte hain ke Yahudiyon ka mamla yeh hai.
1:01:10
yeh to aaj ek taraf se musalmanon ka mamla ho gaya hai ke Quran sunao, Hadees sunao, lekin woh apni jagah par wahi qaim rehte hain. p har se aap log sochiye is baat ko ke jo waqea Yahudiyon ko, jis cheez ko aap Yahudiyon ke sath mansoob kar rahe hain, woh hamare upar apna to nahi ho gaya? behhal yahan mohar se matlab hai conditioning. mohar se matlab yeh nahi ke Allah ne un ko mehroom kar diya. aisa harghiz nahi hai. Maulana agla sawal lene se pehle ek comment padhna chahenge jo abhi aaya hai.
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.