59:36maulana, agla sawal bangalore se hai javed sahab ka. unhon ne likha hai: "maulana sahab, please tell us as to how can we take lessons from somebody death? death ji, main baat to yahi samajhta hoon ke doosre ki maut ko aap apni maut samjhein. doosre ko jab aap dekhein ke woh mar gaya aur main dafan kiya gaya, us ko is dunya se woh chala gaya to apne bare mein sochein.
1:00:13aise hi mujhe hi marna hai, mujhe bhi qabar mein dala jayega, main bhi is dunya se chala jaunga. to doosre ki maut mein apni maut ko dekhna yeh asal sabaq hai. doosre ki maut mein apni maut ko dekhna, doosre ki maut, doosre ki maut ke waqeye par apni maut ko yaad karna yeh is ka sabaq hai. aur yeh itna bara sabaq hai, itna bara sabaq hai ke sahi ma'no mein agar koi yeh sabaq le le to poori zindagi badal jayegi is ki.
1:00:52yani poori zindagi is ki akhirat oriented ho jayegi. lekin dunya ek lagega is ko ke dunya kya hai. thode dinon ke baad jana hai kisi aur dunya mein jo eternal world hai, to is ka rukh bilkul akhirat ki taraf chala jayega. yeh to bohat bara waqea hai hamare liye, maut ka waqea aur is ka lesson jo hai bilashuba poori zindagi ko badal le, badal dene wala hai. maulana, agla sawal iqbal sahab ka hai bangalore se. unhon ne likha hai: "saare quran mein allah ne doosre paighambaron ko naam se yaad kiya jaise ya ibrahim, ya musa, ya dawood,