Maulana Wahiduddin Khan

Does Addressing Prophet by Titles Indicate Greater Honor?

“In the Quran, Allah mentions other prophets by name, such as O Ibrahim, O Musa, and O Dawood, but never addresses the Prophet as O Muhammad; rather He addresses him as O Muddaththir and O Muzzammil. Does this mean that Allah honored him more than the other prophets by not calling him by name?”Asked by Iqbal, Bangalore

He answers at 1:01:27 in Hadith Prediction · 3 min 25 sec

His answer, in his own words
1:01:27
maulana, agla sawal iqbal sahab ka hai bangalore se. unhon ne likha hai: "saare quran mein allah ne doosre paighambaron ko naam se yaad kiya jaise ya ibrahim, ya musa, ya dawood, magar ek martaba bhi ya muhammad nahi keh ke balkeh aap ko al-kabe se yaad kiya jaise ya ayyuhal mudathir, ya ayyuhal muzammil . kya is se yeh baat nikalti hai ke allah ne huzoor ki ta'zeem zyada ki doosre nabiyon ke muqable mein, is liye ya muhammad keh kar nahi khitab kiya?" yeh bilkul absurd baat hai, koi is ka sarpar nahi hai. itni baaton ka is tarah se agar shoshe nikale jayen to aaj hi ghareeb qism shoshe niklenge, nikalte rehte hain log. yeh yeh shoshe hain, yeh koi daleel nahi hai.
1:02:25
daleel kya hai? quran ki doosri ayat la nu farriqu baina ahadin min rusulih yeh daleel hai is ka naam. yeh koi daleel hai ke ya ya hai ke nahi, yeh to shosha hai. daleel hi is ka naam hai ke is ayat ko padhein aap la nu farriqu baina ahadin min rusulih hum ek rasool doosre mein farq nahi karte. yeh yeh is ka naam daleel hai. yeh to shoshe ki baatein hain. shoshe jo chahein nikalte rahiye aap, shoshe ki koi had nahi hai. hazaron shoshe nikal sakte hain aap.
1:03:02
ab misaal, misaal ki taraf main kahoon ke mere ek bete ka naam hai saistain, to main kahoon ke dekho bhai, mera mera beta to allah ko takht par yaad aaya, us ne us ko naam wahan se mujhe bataya ke is ka naam yeh rakho. to shosha nikal lenge bhai, to allah ka diya hua naam hai. yeh naam to allah ka diya hua hai, yeh allah ko bohat bohat mehboob hai. yeh shoshe nikalne se koi baat banti hai? shoshon se kuch sabit nahi hota. itni bari ayat hai yeh ke la nu farriqu baina ahadin min rusulih hum rasoolon ke darmiyan farq nahi karte.
1:03:40
aur quran mein dekhein, is se bhi bari baat main aap se arz karta hoon. quran mein ek ayat hai jis mein mukhtalif nabiyon ka zikr hai naam ke sath, aur us ke baad rasool Allah ko khitab kar ke kaha gaya hai ke olai'kal ladhina hada Allah fabihdih mqtdeh yeh rasool Allah ko khitab hi hai ke yeh hain woh peghambar jin ko hum ne hidayat di, to tum un ki pairwi karo. rasool Allah ko follower bana diya, follower fabihdih mqtdeh,
1:04:15
to tum pairwi karo in rasoolon ki. ab dekhiye, rasool Allah ko peero ki jagah par rakh diya, follower ki jagah par. to dekhiye, shoshon ki koi had nahin hoti. shoshe jo chahen nikalte rahiye, lekin aap ko dekhna chahiye ke ke haqeeqi ma'non mein mudallal baat kaun si hai. mudallal baat yeh hai ke Allah ke nazdeek tamam peghambar barabar hain. kisi Allah ka apne khud ailan ke mutabiq tamam peghambar barabar hain, aur peghambaron mein tafrīq karna yeh bilashubah Allah ke ke khilaf sarkashi karna hai.
1:04:53
sarkashi. maulana, in ka ek aur sawal hai. unhon ne aap se poocha hai ke rasool Allah ki tamam baaten hamare liye model hain, to phir kya libas aur dadi bhi, dadi ke maamle mein bhi rasool hamare liye model hain ya nahin?
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.