Are dress and beard prophetic models?
“All the sayings of the Prophet are models for us, so are dress and beard also models? Is the Prophet a model for us in the matter of beard?”Asked by Naghma Siddiqi, Delhi
He answers at 1:04:53 in Hadith Prediction · 2 min 5 sec
1:04:53sarkashi. maulana, in ka ek aur sawal hai. unhon ne aap se poocha hai ke rasool Allah ki tamam baaten hamare liye model hain, to phir kya libas aur dadi bhi, dadi ke maamle mein bhi rasool hamare liye model hain ya nahin? nahin, yeh bilkul yeh soch galat hai. shah Allah sahib ne bohat sahih likha hai ke rasool Allah ke di hui kuch cheezen jo bator aadat thin, aadat arab ke taur par, to woh woh hamari model nahin hain. jo aap ka jo asal paigham tha, tauheed ka paigham, akhlaq ka paigham, dawat Allah ka paigham, akhirat ka paigham, woh asal cheez hai. kapra aur aur aur libas aur yeh sab cheezen to bator aadat arab ke the. aap ke haan woh woh woh is tarah woh sawa nahin hai.
1:05:50hamare ek saathi the adam garh mein, do saathi pehle ki baat hai, un ke zehn mein yahi aaya. to pata nahin kahan kahan mutala kar ke, mutala kar ke n kala ke rasool Allah ka yeh libas tha, yeh chappal tha, yeh sar par aap ko topi hoti thi, aur yeh asā hota tha. to in dono sahiban ne wohi pattern ikhtiyar kar liya, wohi chappal, wohi kapra, wohi topi ya topi ya awamah, aur woh asā aise hi le ke chalte the ke yeh rasool Allah ki pairwi hai. yeh bilkul galat hai. rasool Allah ki pairwi in terms of culture nahin hai, balkeh in terms of ideology hai. culture to mukhtalif ho
1:06:32sakte hain, mukhtalif anbiya ke culture mukhtalif the. to asal cheez yeh hai ke jo anbiya jo aaye, jo ideology le kar ke, woh asal cheez hai. woh sab ke haan ek thi, woh sab ke haan ek thi. yani tauheed ki ideology aur tauheed ki buniyad par zindagi ko munazzam karna, yeh jo ideology, yeh asal cheez thi. maulana, agla sawal roorkee se hai sajid anwar sahib ka.