Translating Allah's name as God in Quran
“Can we translate the name of Allah in the regional interpretations of Quran of Telugu, Tamil and English with the word God? What is your advice?”Asked by Jayant, Hyderabad
He answers at 1:09:14 in Hadith Prediction · 1 min 49 sec
1:09:14woh shosha hai. Maulana, agla sawal Hyderabad se hai Mr. Jainat ka. unhone likha hai Maulana sahab Can we translate the name of Allah in the regional interpretations of Quran of Telugu, Tamil and English with the word God ? What is your advice? dekhein, main tarjume ke haq mein nahi hoon. yeh yeh tarjuma connect cheez nahi hoti hai. yeh yeh is ke baad is baat, is ka talluq is baat se hai ke logon mein aam taur par konsa lafz raaj ho chuka hai. is mein lafz Allah bhi dekhiye, pehle mushrikeen ka lafz tha. yeh is par amal bhi karna, koi Jibrael ka diya hua lafz nahi hai. yeh mushrikeen yeh lafz bolte thay.
1:10:02Allah Quran se sabit hai. yeh baat isi tarah se dekhiye, musalman jab Iran mein gaye to Iran mein Farsi zaban thi. wahan par Khuda ka lafz bola jata tha. to musalmanon ne Khuda ka lafz adopt kar liya. ab bare peymane par Khuda ka lafz bola jane laga. to jo lafz is tarah se raaij ho jaye, wohi lafz humein istemal karna hai.
1:10:30koi naya lafz hum tarjume ke taur par shamil karein, yeh woh sahi nahi hoga. yeh baat tarjume ki nahi, balkeh riwaj ki hai. yaad rakhiye, yeh masla tarjume, yeh muamla tarjume ka muamla nahi hai, balkeh aam riwaj ka muamla hai. aam riwaj Khuda ka ho chuka hai, to Khuda hum istemal kar sakte hain. lekin jin alfaz ka aam riwaj nahi hua hai, hum tarjuma kar ke us ko chhapen apni kitabon mein, main us ko sahi nahi samajhta. Maulana, agla sawal Maulana Iqbal Umri ka hai Tamil Nadu se.