Maulana Wahiduddin Khan

Qital Verse Recitation or Practical Application

“A person said that the entire verse of qital is only for recitation until Qiyamah, or can some action also be done upon it? Please explain.”Asked by Maulana Iqbal Umri

He answers at 1:11:04 in Hadith Prediction · 2 min 39 sec

His answer, in his own words
1:11:04
Maulana, agla sawal Maulana Iqbal Umri ka hai Tamil Nadu se. unhone likha hai Maulana ek sahab ne farmaya ke ayat-e-qital sara ka sara sirf tilawat ke liye hai qayamat tak, ya is ya is par kuch amal bhi ho sakta hai. is ke bare mein batayein bhai, qital ki ayatein Rasool Allah ki zaban mein bhi namaz roze ki tarah nahi thi.
1:11:35
yeh aisa koi aalim nahi manta ke namaz roza, namaz jaise rozana panch waqt, rozana panch waqt, rozana aise qital thi, rozana karna tha, rozana qital nahi karna tha. qital boqt zaroorat hota hai, namaz ki tarah nahi hai is ka muamla. to agar woh sari shartein agar koi paida ho jayein to qital kiya jayega.
1:12:10
lekin maujooda zamane mein to bachta hoon, woh shartein paai nahin jaati hain. to rasool Allah ki zabaan mein bhi jab shartein maujood hoti hain to qitaal kiya gaya, jaise hudaybiyah mein qitaal nahin kiya gaya, khandak mein qitaal nahin kiya gaya, kyunke woh shartein maujood nahin theen. to qitaal koi namaz roze ki tarah, koi abadi taleem to nahin hai. woh in sharaait ke saath is ka maamla hai ke woh shartein paida hon, woh condition paai jaayen to qitaal kiya jayega.
1:12:45
to us waqt mein samajhta hoon ke yaani qitaal ka ke kis tarah haalat nahin hai. Yeh to hudaybiyah ki haalat hai. Yaani us waqt jo hai, hamein hudaybiyah ka pattern ikhtiyar karna hai, qitaal ka pattern nahin. us waqt jo halaat hain duniya ke, to hudaybiyah ke pattern ko ko ikhtiyar karne ki ko bata rahe hain, qitaal ke pattern ko nahin. Khud rasool Allah ki zindgim bhi besaar maujood hai ke jab qitaal ke halaat the to aap ne badr ki ladai ki.
1:13:18
qitaal ke halaat nahin the to aap ne hudaybiyah ka muahida kar liya. To us waqt hamein dekhna padega ke us waqt hum jin halaat mein hain, wahan par kaun sa pattern applicable hai? badr ka pattern ya hudaybiyah ka pattern? us waqt badr ka pattern applicable nahin hai, hudaybiyah ka pattern applicable hai. To isi par amal kijiye. maulana, agla sawal islamabad pakistan se hai waseem bari sahib ka. Unhon ne likha hai maulana sahib, mujhe yeh jaanna hai aap se ke main apna sahi role kaise daryaft karoon jis ko main poore dil se nibha sakoon?
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.