49:09maulana, agla sawal tamil nadu se hai maulana iqbal umri ka. unhon ne likha hai: "maulana, khuda se qurbat aql ki satah par mumkin hai ya jazbat ki satah par?" dekhen, agar jazbat ki satah par qurbat na hui ho to woh qurbat hi nahi hai. woh toh mechanical qurbat hai. hub jo hai, hub toh zahir hai ke emotion ki cheez hai, hub toh jazbat ki cheez hai. aur Quran mein hai ke: "allazeen aamanoo ashad hubba lillah".
49:48jo iman wale hain, unko Allah se hub shadeed hota hai. toh sahi baat dekhiye yeh hai ke aqli soch se aap pohnchte hain gate tak, mohabbat ke gate tak. jab aap aql ko istemal karte hain toh matlab kya hota hai? aap study karte hain, aap mushahida karte hain, aap cheezon ka analysis karte hain. yeh sab karte karte aap ko intellectual level par discovery hoti hai. yeh ek darja hai.
50:32is ke baad phir aql ka qafila aage badhta hai, phir mohabbat shuru hoti hai. jazbat, jazbat ke yani yani aala jazbat ke aitbar se aap Allah se taalluq paida ho jata hai, phir badhte rehta hai, badhte rehta hai, badhta hai. toh main dekh, aql ka darja seerhi ka darja hai, seerhi manzil ka darja nahi hai. seerhi yani stair, stair ke par charh kar hi aap pohnchte hain manzil tak. lekin stair, stair hai, manzil, manzil hai. toh mere tajurbe ke mutabiq aql seerhi ka kaam karti hai. jab aap pohnch jaate hain toh woh duniya, duniya mohabbat hi hoti hai.
51:24woh yeh main samjha hoon mutale se bhi aur apne tajurbe se bhi. Maulana, agla sawal Dilli se hai Miss Naghma Siddiqui