Immediate entry into Paradise after death
“Allah gives glad tidings to His servants: use your freedom correctly in the world so that at the time of death you immediately enter Paradise. Is this really the case? That is, will a believer enter Paradise immediately upon death?”Asked by مس سائرہ لطیف, کراچی پاکستان
He answers at 1:18:34 in The Issues of Islam in the Present World · 3 min 38 sec
1:18:34maulana, agla sawal karachi pakistan se hai miss saira latif ka , unhon ne likha hai: "allah ta'ala apne bondon ko khushkhabri deta hai ke dunya mein apni azadi ka sahi istemal karo ta ke maut ate hi foran jannat mein dakhil ho jao." maulana sahib, kya yeh baat isi tarah hai? yani maut anay atay hi aik momin jannat mein dakhil ho jaye ga? han, dekhiye, hadith hai ke: "al qabr raazat min razna aur hafrat min harf hafr min hafr al nar." qabr ya to jannat ke darwazon mein se aik darwaza hai ya
1:19:23jahannum gadhon mein se aik gadha hai. to is ka matlab nahi ke wohi qabr mein us cheez rakhi hui hai. matlab maut ke baad fi'l-foor aadmi apne anjam tak puhanch jata hai. yeh to hadith se sabit hai, lekin yeh hum chuki dunya mein hain, yahan par hum yani time time in space mein jeetay hain, hamara jo framework hai poora woh time time in space pe base karta hai. aur yeh baat hai band time in space ki. to band time space ki wali baat ko hum aaj ke is pe yani samajh nahi sakte, ajbari tor par maan sakte hain, ajbari tor par yani as a principle.
1:20:09to yeh hadith se sabit hai ke maut ke baad hi aadmi apne aglay anjam tak puhanch jata hai. baqi yeh chuki baat hai band step space and time walay dunya ki, to is ko hum bilkul chahein ke bilkul logical tor par samajh sakein to woh mumkin nahi hai. maulana, agla aik comment aya hai maulana abdul basit umri ka doha qatar se, woh parhna chahein ge. unhon ne likha hai: "maulana, aap ki aaj ki taqreer se bohat ziyada zehn khula. aap ki yeh baat ke zawal yafta ummat ko le kar koi planning nahi ki ja sakti, usay sirf educate karna hai.
1:20:59aur moosa ki qom ki jo misaal di to baat zehn par naqsh ho gayi. doosri aap ki yeh baat ke quran ke baad ka literature ko islam ka classical literature manna hai, na ke islam ka basic literature.