1:00:47maulana, agla sawal aaya hai mr. ramesh krishnan ka bangalore se. unhon ne likha hai: "What is the significance of the CPS Sunday lectures? kindly let me know۔" ab mein is ke baray mein kya kahoon? yahi keh sakta hoon ke aap ya to is mein shareek hui hain ya aap internet se suni hain. kam se kam aik mahina regular tareeqay se a se z tak suniye aur do bar suniye. jab lecture hota hai, tab suniye aur phir is ko dobara suniye.
1:01:26to aik mahinay ka jo lecture hai, woh aath bar suniye, yaani chaar bar direct aur aur chaar bar is ka dobara. is ke baad aap ke samnay agar yeh wazeh na ho, phir mujh se sawal kijiye. ghaliban aap ne yeh regular tor par suna nahi hai ya suna hai to is ko poore tareeqay se nahi suna hai, aadha suna, aadha nahi suna. is tarah ke lecture dekhiye, a se z tak sunna parta hai. mislan yahan bhi jo log der mein atay hain, mere andhay ko nahi atay.
1:02:13der mein aana aur na aana dono barabar hain. khud yahan pe jo log atay hain, un mein jo shakhs der mein aata hai, mere andhay ko nahi aata. jo der mein aata, woh nahi aata. is ka aana, na aana, na aana, dono woh kuch nahi samjhe ga. woh kuch bhi nahi samjhe ga. woh is wajah se poora lecture sunna aur dobara aik bar aur sunna, tab ja kar aadmi samjhe ga ke kya mission hai, kya purpose hai.
1:02:47to yeh sawal abhi mere nazdeek complete nahi hai. is tarah jis tarah mein arz kar raha hoon, is tarah se is ki shart poori kijiye, phir sawal kijiye aap. maulana, agla aik comment aur sawal hai jo karachi pakistan se hai. abdul latif sahib ne bheja hai, unhon ne likha hai: "main kaun hoon? meri zindagi ka maqsad kya hai ? mujhe kyun paida kiya gaya hai? maut kya hai? jannat aur jahannum ki haqeeqat kya hai?" yeh woh sawal hai jis se aaj ka insaan, chahe musalman ho ya non muslim, ghafil hai.
1:03:31yeh sirf cps hai jo aaj ke daur mein dawat ke zariye in sawalat se dunya ko, dunya ke tamam insanon ko ba-khabar kar raha hai. mujhe maloom nahi hai ke kyun ummat, ummat ulama is mission ki mukhalifat kar raha hai. haan, theek kaha hai unhon ne. is ke is ka jo nature hai, is ko sahi tor par bataya unhon ne. mujhe is se ittefaq hai. maulana, agla sawal dilli se hai miss naghma siddiqui