1:21:18Maulana, agla sawal kya hai? Mr Javed Iqbal ne, unhon ne apni location nahi likhi hai. unhon ne poocha hai ke tablighi jamaat mein aurton ki jamaat nikalti hai, kya dawah work ke liye bhi isi tarah aurton ki jamaat nikali chahiye? dekhen, hum yeh jamaat nikalne ka qail nahi hain, yeh un ka apna tareeqa hai, yeh hum is ka qail nahi hain. daawati kaam har fard ko karna hai, aik kaheen mauqa ho to aap jamaati tor par kijiye, lekin aik jo pattern hai un ke haan jamaat nikalne ka, woh woh un ka apna ijtihadi ka hai, koi Quran o Hadees sabit nahi hai.
1:21:58yeh hamara jo tareeqa hai, woh is se alag hai. hum har fard ko inspire karte hain, har fard ko aam karte hain, aam musallah ke woh logon mein jahan jahan mauqa mile, us ko dawat ke kaam kar. us ko har aadmi ko mauqa dhoondna hai, jahan koi mil jaye, us ko aap ya to baat kijiye ya to kitaab dijiye, jis tareeqe se bhi ho. to bator fard ka bhi kaam ho sakta hai, bator bator jamaat ka bhi kaam ho sakta hai, lekin jamaat nikalna woh aik jo pattern hai, woh hamara tareeqa nahi hai.
1:22:38Mr Aamir bin Yusuf ne Pakistan se sawal kiya hai, unhon ne likha hai: "Quran ko samajhne ke liye kaun si tafseer sab se zyada aasan hai aur sahi ahadees ka kaun sa collection authentic hai?"