Harm and cure of excessive talking
“Some people have the habit of talking too much; they make big claims but do nothing. For instance, someone said he would do only one work—spreading Al-Risala—but experience showed it was only talk, not action. What is the harm of excessive speaking and its cure?”Asked by Amanullah Riyazi, Delhi
He answers at 1:29:45 in An Intellectual Journey · 1 min 41 sec
1:29:45maulana amanullah mathiyani ne delhi se sawal likha hai, unhone likha hai ke kuch logon ke andar ziyada bolne ki aadat hoti hai, woh badi badi baatein karte hain magar woh koi kaam nahin karte. misalan aik sahib mile, unhon ne kaha ke ab mein aik hi kaam karunga, aur woh hai al-risala ko phailana, magar tajrube se maloom hua ke yeh sirf kehne ki baat thi na ke karne ki. maulana, ziyada bolne ka nuqsan aur is ka ilaaj kya hai? bhai, dunya ke aap darogha hi ban sakte hain. inma anta muzakkir lasta alaihim bimustair.
1:30:29yeh mumkin nahi ke dunya ko aap aik hi partner par dhal dein, aisa mumkin nahi hai. to aik hai islaah-e-haal, is ka nuskhah kisi ke paas nahi, paighambar ke paas bhi nahi. yani amli maanon mein islaah-e-haal kisi paighambar ke paas woh nuskhah nahi tha. hum aap kya kar sakte hain? samjhayein, samjhane se na kaam chale, dua karein, bas yahi kar sakte hain. yani halaat ko bil-fi'l badal dena, yeh to paighambar ke bas mein bhi nahi tha. to hamare aap ke bas mein kaise ho sakta hai? yeh dunya daar-ul-imtihaan hai, har aadmi apni marzi se karega jo jo karna hai, us ko yahan tak ke qayamat aa jaye.
1:31:12to halaat ko bil-fi'l badal dena, yeh mumkin nahi hai, lekin yeh zaroor mumkin hai ke aap un ko samjhane ki koshish karein, aur nasf faida ho samjhane se to dua karein, yeh hamesha aap ke bas mein hai. maulana, un ka aik aur sawal hai, unhon ne likha hai ke aaj kal log aam taur par subah ko sote hain, is tarah woh apne aap ko subah ke suhane mahol se mahroom rakhte hain.