1:31:27maulana, un ka aik aur sawal hai, unhon ne likha hai ke aaj kal log aam taur par subah ko sote hain, is tarah woh apne aap ko subah ke suhane mahol se mahroom rakhte hain. maulana sahib, subah ko sone ka nuqsan kya hai, aur subah ki walking ki ahmiyat kya hai? dekhein, hadith mein aata hai ke isha ke baad so jao. rasool Allah is ko pasand nahi karte the ke isha ke baad baith kar log baatein karte rahein, is ko pasand nahi karte the. is wajah se kyun? ke agar aap sawere so jayein ge, tabhi to subah ko sawere uthein ge, raat ko der mein soyein ge to subah ko neend nahi khule gi. to yeh to bohat bari mahroomi hai, is mein log mubtala hain,
1:32:19bohat bari mahroomi hai. kyunke subah ka jo waqt hota hai, woh woh is waqt aadmi so kar uthta hai jab to uska mind fresh hota hai. sooraj ki roshni nikalti hai to us waqt bohat thandi thandi hoti hai, aur hawa bohat hi fresh hawa air milti hai. is waqt chidiyaan fazaon mein chehchati hain, halki halki hawaayein chalti hain, jaise darakht ke patte koi raqs karne lagte hain. to jab mahol mein jab aap niklte hain bahar, yani nature mein aate hain, jab khuli faza mein to aik ajeeb qism ka inspiration milta hai. saari kainat aap ko lagti hai ke aap ko inspire kar rahi hai, aap ko Allah ki blessing yaad dila rahi hai.
1:33:14to isi liye mein is ko kehta hoon, subah ke walk ko walking tahajjud kehta hoon. mein walking tahajjud, walking zikr, walking tadabbur. to mein to samajhta hoon ke jo aadmi bohat bari mahroomi mein mubtala hai, jo subah ko na uthe, bohat bari mahroomi hai. 24 ghante mein sab se acha waqt hota hai subah ka, isi ko agar aadmi avail na kare to zahir hai ke is se bari mahroomi aur kya ho sakti hai? to aap yahi keh sakte hain logon ko, hum kehte rehte hain ke bhai isha ke baad foran so jao, bas aik hi nuskhah hai, isha ke baad foran so jana. phir zahir hai ke neend khule gi subah ko, aur phir yeh sab karein ge aap. to hum itna hi keh sakte hain, is se ziyada hamare ikhtiyar mein kya hai?
1:34:07miss naghma siddiqui ne dilli se sawal kiya hai: " you emphasize on maintaining positivity. if we have a negative experience, how can we convert it into positivity? kindly explain. dekhein, negative experience to zaroor hoga, lekin aap yeh bhi yaad rakhein ke negative experience jo hai, woh aik hota hai, 99 nahi hota hai. woh hamesha
1:34:42, yeh kabhi bhi aisa nahi ho sakta ke negative experience jo hai, wahi sab kuch ho, wahi hundred percent ho. yeh Khuda ki dunya wasta mumkin nahi hai. jaise abhi jo arab countries mein jo afsar hai, aur log baghavat karne ke liye uthe hue hain, to main tv mein kabhi koi dekha hai, main sab mote mote hote hain, to unko sab kuch mila hua hai. yeh sab kuch, hatta ke ek aadmi khud apne munh se bhi keh diya ke mere paas car hai, mere paas ghar hai, mere paas woh bank balance hai, phir bhi kyun shor kar rahe ho? shor kar rahe ho is liye ke main ek ek nikal liya, unhon ne ek ek ek koi pata nahi kya keh rahe the woh. to koi ek item hamesha miss karta hai, har ek ko usi par aadmi focus kar deta hai.
1:35:33to shukr guzar banne ke liye ya positive banne ke liye aadmi is yeh jaane ke har haal mein aap ke paas 99 yaani achha item baharhal maujood rahenge. one one so mein ek nahi rahega to na rahe, is se kya farq padta hai? aur yeh Allah taala ne demonstration ke roop mein bata diya Hazrat Adam ke qisse ko bata kar ke ke jannat mein unhein more than 99 mila hua tha, less than one ek tha, woh yaani fabricry usi par focus kar diya unhon ne.
1:36:12to Allah taala ne bagaye ek ek is ko sari tareekh ke liye ek misaal bana diya ke dekho, aisa mat karna warna nashukre banoge, warna positive personality nahi tumhari taraf ban payegi, tum negative ban jaoge. aur is ka nateeja kya hai? jannat se explanation. main bas bataun ke Adam ke is qisse mein saare mankind ke liye ek zabardast naseehat hai. Maulana Zikwan Nadvi ne nai dilli se likha hai: "Hadees mein aaya hai ke baat ke logon mein kuch muhaddath honge, is hadees ko wazeh farmayein."
1:36:55muhaddath ka matlab hota hai jis se baat ki jaye, jis se baat ki jaye. to jahan tak main samajhta hoon, is ka matlab yeh hai ke ulama ne is ko bohat zyada wazeh nahi kiya hai, is ko karamat e auliya samajhte hain. woh jo muhaddath jo hoga, woh karamat e auliya ek nabi hota hai, ek muhaddath nabi. woh is par wahi utre, aur aur muhaddath woh hai jis se baat ki jaye, yaani farishton ke zariye is ko Allah ki baatein milein. to is ko lagta hai karamat e auliya. main is ko galat samajhta hoon, karamat e auliya ki baat nahi hai. yeh
1:37:39yeh daur e fatra jo hai, yaani nabi na ho, jab us waqt Allah ki rehnumai ka intezam hai. yeh jab nabi hai to nabi aap ko rehnumai deta hai, ya nabi na ho to rehnumai kahan se mile? aadmi ka aql kafi nahi hai. ma hoti to minal ilm illa qaleela. science kehti hai ke science goes partial knowledge of reality. to is tarah se poori hidayat Allah ki jo mile aap ko, to Allah taala kisi ko chunta hai, kisi ko chunta hai.
1:38:18woh isi ko muhaddath kaha gaya, yaani Allah farishton ke zariye is ke dimagh mein dalta hai baatein. to jahan tak main samajhta hoon, main yeh zaati taur par woh yeh hai ke ulama kehte hain ek hai wahi matlooa, ek hai wahi ghair matlooa. to paygambar ko Rasool Allah sallallahu alaihi wasallam ko ek wahi matlooa aati thi, aur jo hai Quran, ek wahi ghair matlooa aati thi, woh hai Hadees. to main zahiri taur par aisa samajhta hoon ke wahi matlooa sirf paygambar ki cheez hai,
1:38:56lekin wahi ghair matlooa jo hai, woh muhaddath ko milti hai Allah ki tofeeq se. agar wahi ghair matlooa na mile to sahi sahi rehnumai nahi kar sakta. ke kehte hain itna jangla hai duniya, afkar ka jangla, itna zyada yaani jis ko kaha fitna doheema. kaise aadmi sort out kare cheezon ko? be shumar cheezain hain, yani hazaron nahi, lakhon nahi, billion item hain, mukhtalif qism ke khayalat, mukhtalif qism ke afkar, mukhtalif qism ke nazariyat. kaise judge kare aadmi ke yeh sahi hai ya galat hai? aadmi sort out nahi kar pata, aadmi ek cheez doosri cheez differentiate nahi kar pata apni aqal se.
1:39:41natija dekhein, ab beshtar log confusion mein jeete hain. jitne bhi mein logon ko parhta hoon, sab confusion, confusion, confusion kyunke sort out na karne ki wajah se. abhi subah time tha, media mein ek article tha spirituality par, us ko parhwa ke suna mein ne. woh hai confusion, kuch samajhte hain kya keh raha hai aadmi. to asal cheez hai sort out karna, ek cheez doosri cheez mein differentiate karna, yani sach truth ko aur false food ko alag kar ke dekhna. yeh bohat mushkil cheezain hain. do yani do pathar hon, ek kala, ek safed, to us ko alag alag kar sakte hain aap kyunke woh aur us ko dekh rahe hain aap objectively.
1:40:29lekin jo maanwi item hain, maanwi item jo dikhai nahi dete, us mein jo safed aur kale mile hue hain, us ko aap apni aqal se alag nahi kar sakte. woh Allah ki madad darkar hoti hai wahan. to jo nabi hai, woh to wahi ke zariye se us ko pehchan pata hai, woh rehnumai deta hai. aur jo muhaddis hai, us ko mein samajhta hoon jahan tak mera khayal hai, wahi ghair matlooh ke zariye us ko pehchanne ki tofeeq milti hai. us ko wahi ghair matloohi ka naam hai inspiration, usi ka naam hai ilham, usi ka naam hai ilqa. aisa mein ne samjhaya hai.