Understanding Quran beyond Arabic language
“We have been hearing from the beginning that it is necessary to understand the Quran through the Arabic language. But nowadays when we see the people living in Mecca and Medina, it seems that something else is also needed to understand the Quran.”Asked by عامر بن یوسف, کراچی
He answers at 1:15:16 in The Problem of Evil · 3 min 19 sec
1:15:16maulana, agla sawal aaya hai Mr. Amir bin Yusuf ka, Karachi Pakistan se. unhon ne likha hai: "hum shuru se yeh sunte chale aaye hain ke Arabic language se humein quran ko samajhna zaroori hai. magar aaj kal hum jo Makkah aur Madinah mein rehne wale logon ko jab dekhte hain toh aisa lagta hai ke quran ko samajhne ke liye kuch aur bhi chahiye." is ke bare mein bataein. dekhein, quran mein yeh nahin bataya gaya ke tum agar Arabic jaano ge toh quran ko samajh lo ge. yeh toh logon ka khayal hai.
1:15:52yeh kahin bhi nahin bataya quran mein. agar tum Arabic jaano ge toh quran ko samajh lo ge. quran mein hai ke tadabbur karoge toh samjhoge. tadabbur, contemplation. toh Arabic jaanna bhi zaroori hai lekin tarjuma bhi kafi ho sakta hai kisi ke liye agar woh is ke andar tadabbur ki salahiyat ho. tadabbur ka matlab kya hai? tadabbur ka matlab yeh hai ke ek khule zehan ke sath aadmi parhe, kisi bhi complex ke baghair parhe, baais se free ho kar parhe, jazbaat se alag ho kar parhe quran ko to samjhega woh. lekin log jeete hain baais mein, tarah tarah ke ta'assubaat mein, nafrat mein, jazbaat mein. to kya samjhenge aap?
1:16:42jaise misaal ke taur par log jeete hain yahudiyon se nafrat mein to jab parhte hain woh quran majeed ki surah fatiha to ghair al maghzoob likhte hote hain ke is se murad yahudi hain. un ke jeete hain isaiyon se nafrat mein jab parhte hain ghair wal dhalleen to samajhte hain is se murad isai hain. yeh quran ko samajhna nahi hai, yeh ya apne mind ko quran mein parhna hai. to aap nafratein liye hue hon, ta'assubaat liye hue hon aur khud sakhta jazbaat pe jeete hon to wohi quran mein parhenge jo aap mind mein hai. sab se pehle apne mind ko free karna parega, tab quran ko samjhenge aap. arabi janna hargiz hargiz laazmi shart nahi hai.
1:17:35laazmi shart hai apne mind ko free banana, apne mind ko har qism ke ta'assubaat, nafrat aur tarah tarah ke yani khud sakhta soch se apne ko free karna. tab dekhen, arabi zaban ki zaroori is ke liye hai jo scholar banna chahta ho. scholar to ek hai quran ko samajhna, ek hai quran ka scholar banna. scholar yani quran ki buniyad par koi mashal chalana chahte hon aap, tab zaroori hai ke aap arabi janiyen.
1:18:09yani quran ki buniyad par ek mashal uthana chahte hon aap to zaroori hai ke aap arabi janiyen. lekin aap simply follow karne ke liye ke saada taur par apni zindagi mein quran ko lane ke liye to bas quran ko parhiye, woh ta'assubaat se khali ho kar ke to zaroor quran samajh mein aayega aap ke. maulana, agla sawal aaya hai mr sajid ka, hyderabad se. unhon ne likha hai: "shaitan se bachne ke liye hum ko sab se zyada kis cheez par nigah rakhna chahiye?