1:13:41Maulana, agla sawal Dilli se hai. Miss Naghma Siddiqui ka, unhon ne poocha hai: "Death is man's biggest reality. Why does he stay unaware of it?" bhai toh Shaitan ka sab se bara harba hai. Shaitan chahta hai ke maut se aadmi ko bhulaye rakhe, maut ko bhulaye rakhe. Kyun ke maut aayegi toh aadmi ki zindagi badal jayegi bilkul. toh yeh Shaitan ka, main samajhta hoon ke sab se bara harba yeh hai ke aadmi ko, ab dekhiye aap ghaur kijiye. Yeh Shaitan ki sunnat hai yeh.
1:14:21aap ghaur kijiye ke Shaitan ne Allah Ta'ala se baghaawat ki. Agar is sach much is ko yaqeen hota ke mujhe isi Khuda ke paas lautna hai Qayamat mein aur mujhe saza sunai jayegi. sach much is ka ehsas hota to woh khud hi yeh kaam na karta. to shaitan khud be khabar tha is baat se ke mujhe dobara Allah ke samne meri peshi hone hone wali hai. main is Khuda ki adalat ko face karna parega mujh ko. waqti tor par mujhe azadi hai qayamat se pehle hangama karne ki.
1:15:00to shaitan khud hi is se ghafil hai ya tha ke mujhe aakhir kar Khuda ki adalat ko face karna hai. to yeh wohi is sunnat hai woh shaitan ki. woh is sunnat ko, isi shaitan ki sunnat hai. us ne kaha tha ke main main sab ko apni sunnat pe chala dunga. apne raste par. to jo log, yani Allah ki pakar ka jin ko ehsas ho, unhein sochna chahiye ke mujhe to shaitan ke raste pe chal raha hoon main. maut ka mat
1:15:33lab kya hai? maut ka matlab hai Allah ke samne Accountability. Allah ke samne, Allah ke samne peshi. yeh matlab hai maut ka. to shaitan khud is se ghafil aur aur doosron ko bhi ghafil karta hai is ko. quran mein hai ke: "jo tumhari pairwi karega to tum ko aur un sab logon ko main jahannum mein daal dunga."
1:16:00to kitna zyada sochne ki baat hai. surah aaraf mein Allah taala ne sirf kaha tha iblis se ke: "jo tumhari pairwi karega main tum ko aur us ko sab ko jahannum mein daal dunga." to yeh to pairwi hai ke aadmi is baat se ghafil ho jaye ke hamein aakhir kar Khuda ke samne pesh hona hai. Khuda ke Verdict ka samna karna hai. to isi isi shaitan ki sunnat, shaitan ne sab ko apni sunnat pe kisi ke tareeqe se baqayeda rakha hai. to bohat zyada sochne ki baat hai. Maulana, agla sawal aya hai Mr Fazal Amin ka, Karachi Pakistan se. unhon ne likha hai: "main aik dukandar hoon.