Cultural conditioning harm and self-removal
“Experience shows that every person lives in cultural conditioning. What is the harm of this cultural conditioning, and how can a person remove himself from this cultural conditioning?”Asked by Anas, Delhi
He answers at 49:28 in Man and Paradise · 4 min 8 sec
49:28maulana, agla sawal dilli se hai ans sahib ka. unhon ne likha hai: "tajurba batata hai ke har har aadmi cultural conditioning mein jeeta hai. is cultural conditioning ka nuqsan kya hai, aur is cultural conditioning se aadmi apne aap ko kaise nikale?" yeh baat sahi hai ke har aadmi cultural conditioning mein jeeta hai, kyunke jab paida hua to aik culture mein paida hua. paida hote hi us ko aik culture mil jata hai. paida hote hi us ko aik culture mil jata hai. samajhta hoon ke har insan, har insan, har insan ka pehla kaam yeh hai ke woh daryaft kare ke jis culture ko maine unhen inherit kiya hai,
50:17woh sacha culture hai ya jhoota culture hai. sahi culture hai, ghalat culture hai. pehla kaam, kyunke daikhen, jab jo culture aap ko paida hote hi mile, us mein aap ki conditioning ho jati hai. to bila soche samjhe us us ke aadi ban jaate hain aap. to main samajhta hoon ke har insan ka pehla kaam yeh hai ke woh is baat ko daryaft kare ke jis culture mein parha barha, jis culture mein us ki conditioning ho gayi, jo culture us ki aadat ban gayi, us ka mizaj ban gaya,
50:57woh sahi tha ya ghalat. aur apni is aitbar se apni deconditioning kare. jo aadmi aisa nahin karega, to phir us ko kabhi bhi sachai nahin milegi. woh hamesha haqeeqaton se bekhabar rahega. maulana, un ka aik aur sawal hai, woh aap se janna chahte hain ke quran mein parents ki farmanbardari ka hukum diya gaya hai ya husn sulook ka? is ke baray mein bataen. sirf sulook ka, farmanbardari ka nahin. quran mein fal tat'i'u
51:40sulook, yani sulook ka matlab kya hai? sulook ka matlab yeh bhi yeh nahin hai ke aap, yani aaj kal jo sulook ke matlab liye jaate hain, woh baray nahin hain. sulook ke real need ko pura karna, haqeeqi zaroorat ko pura karna, bas yeh hai sulook. aaj kal is logon par yeh baat wazeh nahin hai ke ke apne waldein ke baray mein, woh un ki sirf yeh zimmedari hai ke woh un ki real need ko poori karen. bas is se ziyada nahin hai.
52:18aam taur par main dekhta hoon, main koi real need se siwa log is ko samajhte hain sulook. woh har giz har giz aisa nahin hai. jo real need hai, real need, haqeeqi zaroorat, woh aap pura karen to yeh aap, yeh aap ki zimmedari hai. lekin is ke siwa agar maa baap se aap se mutalba karte hain to aap hargiz aap ki zimmedari nahi ke is ko aap pura karen. aur balkeh main yahi kahunga ke agar aap real need se zyada aap maa baap ke fikrmand hain to woh aap ke liye kya hoga ke aap apni apni dawat ka kaam nahi kar sakenge, aakhirat ki tayari nahi kar sakenge, apne deen mein kami karenge
53:03to apna nuqsan karenge woh. aur is ka misdaq ban jayenge. jo ek hadith hai ke sab se zyada ghaate par woh hai mun adhr akhirtahu bidunya ghair jo doosre ki duniya ki khatir apni aakhirat ka nuqsan kar le, is ka case ban jayenge aap. to behal aap sirf real need ke baghair zimmedar hain, is se zyada ke zimmedar aap nahi hain. maulana, agla sawal hai dilli se doctor tahir mustafa sahib ka. unhon ne likha hai: "maulana sahib, I am a surgeon and I don't lie to insurance companies about the patient illness because I believe as a Muslim I should not lie to anyone.