Responding to New Year greetings
“My neighbors greet me on New Year. What should I do? Can I greet them back? Some of my Muslim friends say that New Year greetings are haram.”Asked by پیر محمد صاحب, چنئی
He answers at 58:43 in Personality Building · 1 min 31 sec
58:43maulana, agla sawal chennai say aya hai peer muhammad sahib ka. unhon nay likha hai: "maulana, my neighbors greet me in new year. what should i do? can i greet them back as some of my muslim friends say? that greetings in the new year is haram." astaghfirullah, yeh aisa bolna to zaroor haram hai. greeting haram nahi hai, greeting haram nahi hai. aisa bolna zaroor haram hai. aap zaroor un ko mubarakbad dijiye jaisay woh aap ko de rahay hain aur Allah ka shukar ada kijiye kay naye aik aur saal mila aap ko dunya mein kaam karnay ka.
59:31yeh to bohat achi baat hai. jo log kehtay hain kay haram hai, woh bilashuba khud aik haram film ibtala hai, aisa keh kar kay . kyun kay woh, woh, woh aisi baat bol raha hai jis jis ko Khuda nay unhain, yani ijazat nahi di hai. yani yeh kaisay, yani kaisay koi munh say bolta hai? mein hairaan hoon kay kaisay itni, yani itnay musalman itnay woh ho gaye hain, nidar ho gaye hain, nidar kay jo baat Quran o Hadees mein likhi nahi hui hai, woh us ko boltay hain.
1:00:11yeh kaisay boltay hain? woh to jo log aisa kehtay hain, un say bas saada, yani sawal aap yeh kijiye kay batao kahan likha hai Quran ya Hadees mein? jo log aisa kehtay hain, un say poochiye kahan likha hua hai Quran o Hadees mein.