Why Muslims lack fear of God and hell?
“Why is it that Muslims don't fear God? Is it because they believe that paradise has already been reserved for them? Hell is mentioned in the Quran in many chapters, still they are not afraid of hell. What is the psychology behind this fearlessness in the part of Muslims?”Asked by Farida Khanum, Delhi
He answers at 1:02:44 in Islam and Violence · 4 min 8 sec
1:02:44maulana, agla sawal hai dilli se doctor farida khanoom ka, aur unhon ne likha hai ke: "why is it that muslims dont fear god? is it because they believe that paradise has already been reserved for them? hell is mentioned in the quran in many chapters, still they are not afraid of hell. what is the psychology behind this fearlessness in on the part of muslims?" dekhiye, daur-e-zawal ke bare mein bohat hadisen hain. to yeh bataya gaya hai ke ek waqt, ek zamana aayega ke musalmanon mein ek bhi nahi rahega allah se darne wala. allah hatta la tra khash, ek bhi tum nahi paoge allah se darne wala.
1:03:34to kabhi to waqt aayega, hatta la tra khash, ke musalmanon mein ek bhi allah se darne wala baqi nahi rahega. bheed hogi, wa antum qusah, bheed ka daur hoga, masjidain bhi bhari hongi, lekin khauf-e-khuda nahi hoga. yeh daur-e-zawal ka phailao hai, jo jis ki paishangoi rasool allah ne kardi thi. main samajhta hoon ke yahi woh daur hai. itne log bekhauf ho gaye hain, kuch bhi karte hain, itne bekhauf ho gaye hain.
1:04:07jis ne malala ko goli mari, zahir hai ke bekhaufi ka kaam tha. aap ko kya aa gaya ke goli marne ke liye? koi ek insan ko qatl karna, woh goli mari thi qatl karne ke liye. woh to maghrib ja ke ilaaj hua, bach gayi. woh, woh to mari to, woh to qatl karne ke liye. aur kahin kisi ko qatl karne ka haq hi nahi hai. quran mein aaya hai ke ek insan ko qatl karna, sare insanon ko qatl karna hai. ek ayat hai ke: "man qatala muhammad fajadannar". aaj kal dharre se musalman musalman ko qatl kar raha hai. har muslim mulk mein daraz daraz goli marte hain musalman musalman ko. har muslim mulk mein.
1:04:49aur quran mein hai ke jis ne jaan boojh kar kisi musalman ko mara, to woh jahannum mein jayega. "man qatala muhammad fajadannar". main to hairaan hoon ke musalman jo hain, kya yeh? yani main aksar yeh kaha karta hoon ke musalman choti kaatne se darta hoga. musalman allah se darta hoga. jitna darta hai musalman choti kaatne se, utna bhi woh allah se nahi darta. main to apni tanhaiyon mein rota hoon, aur yeh yeh lafz nikalta hai meri zuban se ke musalman choti kaatne se shayad darte hon, allah se nahi darte.
1:05:29woh kuch bhi karte hain, kuch bhi ilzam laga dein, kuch bhi kisi par aib laga dein, kuch bhi kisi ko keh dein ke yeh yahudi agent hai, yeh aur yeh dushmanon ka agent hai. kisi ko kaha kaha yeh kehne ka, yeh kehne ka aap ko haq nahi hai. lekin chuki dil mein khauf nahi hai, allah ki pakad ka woh nahi hai, is liye khoob kehte hain. ek saal ka mere paas telephone aaya to maine un se yahi baat kahi. maine kaha ke musalman is ayat ko bhool gaye hain: "yauma yaqoomu alnnasu birabbi alaalameena".
1:06:10jis din khade honge log allah rabb-ul-alameen ke samne, yeh tasawwur bhi kapkapa deta hai ke ek din woh waqt aayega ke jab main allah ke samne khada hounga. bilkul yeh kapkapi taari ho jati hai, lekin musalmanon ko kuch bhi nahi. jin ko maine telephone pe baat ki, unhein kuch bhi, kuch bhi nahi. bas bas sun liya, khali unhon ne: "yauma yaqoomu alnnasu birabbi alaalameena". to jirah ki baat yeh hai, mere apne mutale ke mutabiq musalman allah ki pakad se bekhauf ho gaye hain.
1:06:45bazahir namaz ko parhta hai, dor dorai rakhta hai, lambe lambe karte logon ke hain, lekin Allah ka khof dilon mein nahi hai. maulana, agla sawal dilli se hai shahab haider sahab ka, aur unhon ne likha hai: "maulana, just for gaining knowledge, if i want to know that if partition of a country in the name of islam is wrong, then how it is it possible to increase the believers of islam