Did Jews make Dome of the Rock qibla?
“Did the Jews themselves make the Dome of the Rock their qibla, or was it commanded by Allah? Clarify this.”Asked by Waseem Ahmed, Delhi
He answers at 1:08:00 in The Lesson of History · 1 min 49 sec
1:07:59mein Allah bless you molana, agla sawal waseem ahmed sahab ne kiya hai dilli se. aur unhone likha hai ke molana sahab, qubat al-sakhra ko yahudiyon ne apne aap apna qibla banaya ya Allah ki taraf se is ka hukum tha? isko wazeh karen bhai, yeh is ki to kitabon mein, is ki yeh to koi ek technical sawal hai. yeh jo aap farma rahe hain ke technical sawal hai,
1:08:30jo tareekh hai, yahudiyon ki tareekh, us mein yeh hai ke un ke aqeeday ke mutabiq zibah jo hain woh ismail nahi hain balke ishaq hain. aap jante hain ke hazrat ibrahim ke do bete the, ismail aur ishaq. to aam musalman mante hain zibah hazrat ismail ko, yahudi mante hain hazrat ishaq ko. musalmanon mein bhi baz afraad, mislan imam razi jo hain, woh ishaq ko zibah mante hain. jo mashhoor mufassir jo hain, imam razi. to yahudi aqeeday ke mutabiq hazrat ibrahim ne apne bete ishaq ko ek chattan par zibah karne ke liye lataya tha.
1:09:14woh bari si chokor chattan hai, woh mein ne dekha hai wahan par, us par lataya tha. to is bana par woh chattan muqaddas ho gayi. aur is muqaddas jagah ko unhone apne qibla banaya. ab yeh baat tareekh mein likhi hui nahi, jahan tak mein janta hoon ke Allah ne hukum diya tha ke unhone khud banaya tha. lekin qiyasan Allah ne hukum diya hoga ke us ko qibla banao apna. lekin yeh yaqini hai ke masjid aqsa yahudi qibla
1:09:49nahi tha. yahudi qibla tha qubat al-sakhra. molana, agla sawal idrees sahab ne kiya hai raipur se.