Maulana Wahiduddin Khan

Ideal system vs ideal human in Quran

“People say that not talking about the system is to make Islam landless. At one time you were also a proponent of the ideal system. But how did you realize that creating an ideal human is the purpose of the Quran? Clarify the confusion.”Asked by Iqbal Umari, Tamil Nadu

He answers at 44:33 in Message of The Quran · 2 min 10 sec

His answer, in his own words
44:33
Maulana, yeh sawal aaya hai Tamil Nadu se Maulana Iqbal Omri ka. aur unhon ne likha hai: "Maulana, log kehte hain ke system ki baat na karna Islam ko be zameen karna hai. aik zamanay mein aap bhi ideal system ke daai thay. lekin aap ne kaisay jana ke ideal insan banana hi Quran ka maqsad hai? Maulana, is mein jo mughalta hai us ko wazeh karen." dekhiye, mein kabhi bhi ideal system ka daai nahi tha. aap meri kitab
45:13
sab chhapi hui parh sakte hain. aur is zamanay mein jab ke mein yani yeh alaihi al salam mission shuru nahi kiya tha. is zamanay ke jo mere mazameen thay us ko mein ne chhap diya hai. is ka naam hai "Quran ka matloob insan " is mein aap parh lijiyay. jo baaten aaj mein kehta hoon wahi baat us mein bhi kehta tha. is mein tareekh likhi hui hai kab kab woh likha aur kab kab chhap. to mere pichlay mazameen aap parhen aur aaj ke mazameen parhen. to dono mein koi farq nahi dikhai dega aap ko. doosri baat yeh hai ke system ko jo ahmiyat dete hain log to apnay dimagh se dete hain.
45:58
unhein Quran se sabit karna paray ga. Quran mein kahin aik koi ayat bataiye ke Quran mein yeh kaha gaya ke: "Ae Musalmano! tumhara farz yeh hai ke tum system ko qaim karo. nizam ko qaim karo." yeh kahan Quran mein hai? to kahin bhi nahi hai. Quran mein to yeh hai ke Allah se daro, Allah se mohabbat karo, Allah ke oopar ghor o fikr karo. yani sab spirit ki baaten hain, tadabbur ki baaten hain.
46:26
to jab tak aap Quran se koi daleel na dein yeh baat qabil e ghor nahi hogi. apnay apnay mind se jo baat kahain woh Quran ki baat kaisay ho sakti hai? Maulana, agla sawal Delhi se kiya hai Maulana Farhad Ahmed sahib ne. aur unhon ne likha hai ke: "It is said that to become a creative man is a very very difficult task.
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.